durrul-majalis
hikāyat yahāñ suno yak mard-o-zan kā
uThā kaheñ baaġh kiiñ yak phūl-ban kā
uTā yak baap yak mādar suuñ farzand
uneno kuuñ na thā kapḌā so paivand
vale yak thī purānī phaaT chādar
gadā.ī kuuñ so jaave pain chādar
chale iisā payambar gulistāñ kuuñ
dekhe vahā sahnaf aadam butāñ kuuñ
payambar ke kenī aa kar fariyādī
nabī haiñ tum ḳhudā ke jag ke haadī
hamāre par kaaro kuchh faiz baanī
nikal jaave nasība kī girānī
qubūle the payambar ḳhush-vaz.a suuñ
magūñgā maiñ munājāt ab ḳhudā suuñ
kañh itnā sun ke haq sū munājāt
ġharībāñ ke duā var liyā tuuñ hājāt
sub.h pochā.uñga maiñ savāl kā javāb
tumhāre par kholegā faiz kā baab
qubūliyā rab payambar kī zabānī
karūñgā baḳhsh zāhir sab nihānī
agar shāhī mañge to shaah karūñgā
ba-gar sūrat mañge to maah karūñgā
duā mañgyā tumeñ paiñlī che baare
payambar kane kahe vahāñ sū sidāre
kiye aurat-mard ne mil fikar ḳhaas
hameñ kyā kyā mañge ab bol ḳhudā paas
kahā o mard maiñ shāhī magūñgā
jag kā bādshāh ho kar marūñgā
zan-bī bolī jo aurat ne zabānī
magūñgī ḳhūb-sūrat naujavānī
donoñ mil kar ḳhushī suuñ raat saarī
guzar ga.ī rain jag par suur savārī
rain kī bādshāhī kar āvāra
sūraj paidā huā kuhan kā sitāra
kiye tajvīz jaane nahī so ḳhārī
sub.h huī kar uThe o so naar
samaj sadak sub.h kā varī huī bahār
vajū karne chalī āb-e-ravāñ ko
chalī hai ḳhuub naale pa ghar so
lage karne vajū mil jannat joḌā
vajū kā sab huā faiz niboḌā
avval āġhāz kar zan ne duā kuuñ
diyā sūrat javānī bevafā kuuñ
nichhal sūrat diyā baḳhshish ḳhudā-band
chandr jis kī sūrat kā paak paivand
zamāne kī jitnī ḳhūbāñ huī tal
ajab chandr badan thī paak nirmal
jamālāñ meñ sakal o husn baalī
so ek meñ vaisī sarv kī Daalī
na thī sūrat us kī jag meñ saanī
ajab thā husn us kā naujavānī
na thī chandr-badan kaañ thī malekā
nahīñ madhu-māltī kaañ thī zuleḳhā
husn madhu-māltī kā kyā vichārā
zuleḳhā ne chhipī ja.alī kināra
apas kī naujavānī kī tarañg kuuñ
chalā.ī thī jo ḳhūbī kī alañg kuuñ
ke vaise meñ dekho yak bādshāh chal
savārī ke badal aayā thā jañgal
khaḌe sundar dekhā mohan zamāna
peshānī jis kī thī chandr nishāna
dekho us bādshāh ke nayan ke ba.az
mohan ruup ke totī par parbāz
ishq kī baazī māryā thā louTan
mahāfī meñ baiThā kar le chalyā dhan
merī aurat mahāfī meñ biThā kar
le jaayā kar zabardastī sarāsar
mañgūgā maiñ duā rab ke hujūrī
ajab hai bādshāh merā subūrī
jism dhan kā tū rakh muuñ jo suur kā
tuuñ hai mālik mere aib-o-hunar kā
merā tuuñ bādshāh hai rab tavānā
suur kā muuñ merī zan kā dikhānā
hikayat yahan suno yak mard-o-zan ka
uTha kahen bagh kin yak phul-ban ka
uTa yak bap yak madar sun farzand
uneno kun na tha kapDa so paiwand
wale yak thi purani phaT chadar
gadai kun so jawe pain chadar
chale isa payambar gulistan kun
dekhe waha sahnaf aadam butan kun
payambar ke keni aa kar fariyaadi
nabi hain tum KHuda ke jag ke hadi
hamare par karo kuchh faiz bani
nikal jawe nasiba ki girani
qubule the payambar KHush-waza sun
magunga main munajat ab KHuda sun
kanh itna sun ke haq su munajat
ghariban ke dua war liya tun hajat
subh pochaunga main sawal ka jawab
tumhaare par kholega faiz ka bab
qubuliya rab payambar ki zabani
karunga baKHsh zahir sab nihani
agar shahi mange to shah karunga
ba-gar surat mange to mah karunga
dua mangya tumen painli che bare
payambar kane kahe wahan su sidare
kiye aurat-mard ne mil fikar KHas
hamein kya kya mange ab bol KHuda pas
kaha o mard main shahi magunga
jag ka baadshah ho kar marunga
zan-bi boli jo aurat ne zabani
magungi KHub-surat naujawani
donon mil kar KHushi sun raat sari
guzar gai rain jag par sur sawari
rain ki baadshahi kar aawara
suraj paida hua kuhan ka sitara
kiye tajwiz jaane nahi so KHari
subh hui kar uThe o so nar
samaj sadak subh ka wari hui bahaar
waju karne chali aab-e-rawan ko
chali hai KHub nale pa ghar so
lage karne waju mil jannat joDa
waju ka sab hua faiz niboDa
awwal aaghaz kar zan ne dua kun
diya surat jawani bewafa kun
nichhal surat diya baKHshish KHuda-band
chandr jis ki surat ka pak paiwand
zamane ki jitni KHuban hui tal
ajab chandr badan thi pak nirmal
jamalan mein sakal o husn baali
so ek mein waisi sarw ki Dali
na thi surat us ki jag mein sani
ajab tha husn us ka naujawani
na thi chandr-badan kan thi maleka
nahin madhu-malti kan thi zuleKHa
husn madhu-malti ka kya wichaara
zuleKHa ne chhipi jali kinara
apas ki naujawani ki tarang kun
chalai thi jo KHubi ki alang kun
ke waise mein dekho yak baadshah chal
sawari ke badal aaya tha jangal
khaDe sundar dekha mohan zamana
peshani jis ki thi chandr nishana
dekho us baadshah ke nayan ke baz
mohan rup ke toti par parbaz
ishq ki bazi marya tha louTan
mahafi mein baiTha kar le chalya dhan
meri aurat mahafi mein biTha kar
le jaya kar zabardasti sarasar
manguga main dua rab ke hujuri
ajab hai baadshah mera suburi
jism dhan ka tu rakh mun jo sur ka
tun hai malik mere aib-o-hunar ka
mera tun baadshah hai rab tawana
sur ka mun meri zan ka dikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.