avval yaad karo vastād kī
guru piir paiġhambar kī
aur yaad kiye kartār kī
jinnai brahmāñD paidā kiyā hai
avval dekho ye kathā
use naam na thā
naam darmyāne paidā huā chal chal chal
avval to ek ek sau done
do sau tiin tiin sau chaar
chaar sau pāñch
pāñch so pachchīs pachchīs se chhabbīs banāyā hai
chhabbīs kā bhī ek raDyā hai
sau gur gāruDī kū yaad hai
aur dekho kaisā khel banāyā hai
chal chal chal krodh kā bichchhū bāhar kaaTā
uskā biikh shir kū chaḌhā
japī tapī sanyāsī kī khoD toDā
samaj ke dekho bhaa.ī
bichchū ne nāñgī maarā re maarā
chha na na na na kahne lagā chal chal chal
ye dekho bāher niklā kām-vishy kā saap
tamāsha dekho mere baap bin dāñto se kaaTe aay aap
are re re kaaTā re kaaTā najar dhyān karo re
najar dhyān karo so saap duur kare
chal chal chal
ye dekho mamtā nāgan aa.ī re bhaa.ī aa.ī
tineñ to Dñkh maarā re maarā
Than na na na
bhago re bhaa.ī bhago davDo re davDo
guru ke charan par davDo
to aisā karu kī guru ke
paañv kabī nā chhoDo
vahā koī kā nā chale
mamtā nāgan kā jahar burā hai
vo kaisī chaltī hai
sau baDe baDe se laDte haiñ
vo nā laDe aisī hikmat
batā.ū tum kuuñ
suno re bhaa.ī suno
guru-pīt ke haat kā mohara
tumhār haat chaDhe dunedār
to nāgan kā tuTe thārā
sau kabī aavne na paave
manā manshā saap karo
shāntī peTāre meñ vuskū Daaro re bhaa.ī Daaro
bāher to vivek shikkā maare
jiiv aur tan
iis dono kuuñ
aisā kas ke guru ke charan par
raat aur din khelo janārdhan guru gāruDī ke paas
raat aur din khelo janārdhan guru gāruDī ke paas
vahā tum karo khel
khelte khelte ho jyāye.gā ālaksh
'ekā' hāñDībāg kuuñ diyā khel
sau ho gayā alaksh khel
awwal yaad karo wastad ki
guru pir paighambar ki
aur yaad kiye kartar ki
jinnai brahmanD paida kiya hai
awwal dekho ye katha
use nam na tha
nam darmyane paida hua chal chal chal
awwal to ek ek sau done
do sau tin tin sau chaar
chaar sau panch
panch so pachchis pachchis se chhabbis banaya hai
chhabbis ka bhi ek raDya hai
sau gur garuDi ku yaad hai
aur dekho kaisa khel banaya hai
chal chal chal krodh ka bichchhu bahar kaTa
uska bikh shir ku chaDha
japi tapi sanyasi ki khoD toDa
samaj ke dekho bhai
bichchu ne nangi mara re mara
chha na na na na kahne laga chal chal chal
ye dekho baher nikla kaam-wishy ka sap
tamasha dekho mere bap bin danto se kaTe aay aap
are re re kaTa re kaTa najar dhyan karo re
najar dhyan karo so sap dur kare
chal chal chal
ye dekho mamta nagan aai re bhai aai
tinen to Dnkh mara re mara
Than na na na
bhago re bhai bhago dawDo re dawDo
guru ke charan par dawDo
to aisa karu ki guru ke
panw kabi na chhoDo
waha koi ka na chale
mamta nagan ka jahar bura hai
wo kaisi chalti hai
sau baDe baDe se laDte hain
wo na laDe aisi hikmat
batau tum kun
suno re bhai suno
guru-pit ke hat ka mohara
tumhaar hat chaDhe dunedar
to nagan ka tuTe thaara
sau kabi aawne na pawe
mana mansha sap karo
shanti peTare mein wusku Daro re bhai Daro
baher to wiwek shikka mare
jiw aur tan
is dono kun
aisa kas ke guru ke charan par
raat aur din khelo janardhan guru garuDi ke pas
raat aur din khelo janardhan guru garuDi ke pas
waha tum karo khel
khelte khelte ho jyayega aalaksh
'eka' hanDibag kun diya khel
sau ho gaya alaksh khel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.