masnawi turab dakani
'turāb' ab kar raqam rañgīñ-bayān-e-ū
sune jo ḳhalq saarā dāstān-e-ū
ite o dāstān kahtā huuñ yārāñ
ho.egā ḳhalq sab sun ashk-vārāñ
bha.ī us ke kaam hai ma.alūm kis kuuñ
apas kā bhed na.ī detā hai kis kuuñ
divāne ko miyānā kar dikhātā
siyāne ko divāna kar batātā
sunā huuñ gulshan-ābād ek nagar thā
vahā ekh mah-jabīñ gul-rū kā ghar thā
nihāyat husn meñ autār thī o
kul panchār meñ ḳhuñḳhār thī o
athī yo pāk-dāman pārsā naar
namāz-e-pañch-vaqta hor zikr chaar
kabhī nāġha nahīñ kartī thī aksar
chatur sab aurat meñ thī bichittra
ḳhasam raazī razā-mand sab qabīla
na jaane aurat kā makr-o-hīla
achhe hil-mil hamesha o ḳhasam suuñ
ke jyuuñ hai āshnā sābit-qadam suuñ
kabhī koī na.iiñ huā āzūdāñ-ḳhātir
athī ḳhush-ḳhulq mū dilbar vazāhir
jahāñ āvāz nā-mahram kā aave
vo tauba kar vahāñ suuñ aTlī jaave
uucha ghuñghaT na saarā muñh ko khole
na bātāñ shoḳh mil shoḳhiyāñ suuñ bole
va lekin saro-qad nāzuk-badan thī
sakal ḳhūbāñ mane jaadū nayan thī
kamān abrū nigāhe ḳhanjar palak tiir
adā saif du-dhārā zulaf zanjīr
sar pā nāznīn dildār dil-bar
balā thī zulm thī zālim sitamgar
kahāñ lag us parī-rū ko sarā.ū
dil āshiq mirā kar kyuuñ jalā.ūñ
gayā thā naukrī ko us kā ḳhāvind
akelī ghar meñ thī dildār dil-band
hue the din jo koī shātir nā aayā
ḳhabar bhī ḳhairiyat kī koī na laayā
par us nagar o gul-badan naar
kahīñ maare gayā yā o bīmār
kahe phir daa.ī ko o yuuñ bulā kar
bulā bulā ko daa.ī jald jā kar
bhot din so nahīñ aa.ī ḳhabar hai
na jaane kyā sabab un ke uupar hai
o ab lag naukrī kis kā kiye na.iiñ
jo ghar kī kuchh ḳhabar hargiz liye na.iiñ
yā ka.ī lashkar meñ jā sapḌe haiñ ran meñ
yā kara.ī aTke haiñ shauq-o-rāg-o-rañg meñ
yā koī sautan ne dil un kā bahlā.ī
yā kis ke jā hue haiñ ghar jañvā.ī
bhot jādū-garāñ rāñdāñ vahāñ haiñ
uno jā kar rahe chākar vahāñ haiñ
mere bin yak ghaḌī rahtā nahīñ thā
mere bin baat kara.ī kartā nahīñ thā
atā bhejā na.ī jhūTī kitābat
kiyā hai jā ke shāyad vahāñ kī aurat
kyā to ḳhuub hai jiitā rahe o
ḳhabar aa.ī to us kī bas hai dekho
sunī u baat so daa.ī chalī bhaar
bechārī naar kuuñ karne giraftār
jahāñ paḌte the laḌke bhot se mil
vahāñ baiThā thā mullā yak fāzil
le tasbīh haat meñ kartā zikr thā
lagan ke dard suuñ o be-ḳhabar thā
rakhe shamla chīra bādhe madūr
kare shānī-sharī.at kaam aksar
sunāve sab kateñ masla-masā.il
karī taslīm jā kar us ko daa.ī
haqīqat bol ḳhat likhne bulā.ī
sunā so daa.ī suuñ mullā ne u baat
chalā le kar qalam dāvāt sañgāt
ḳhabar biibī ko de aayā hai mullā
kahe biibī use ghar meñ bulā yahāñ
uneñ but-ghar meñ gosha kar bulā.ī
bichhaunā karte parde kan bi.Thā.ī
apī baiThī sundar parde ke andar
bulā mullā kuuñ apne ghar bhītar
biThā parde kane mullā bichāra
suno baarī lagan kā yak nazāra
gañvāyā pārsā kī pārsā.ī
kiyā zohd-o-riyā kī jag-hañsā.ī
pūchhā le haat meñ mullā ḳhāma
haqīqat kyā likhūñ so vo naama
dekhā to o parī rū jhāktī thī
ġhurūr-e-husn meñ jiyūñ mad-matī thī
hue ek baar jo chak chaar donoñ
rahe hairat suuñ ho lāchār donoñ
yakāyak dekh dīvāna huā tab
lagā kahne ko bolo kyā likhūñ ab
kahe o nāznīñ sab apnā ahvāl
na samjī o huā so dekh behāl
haqīqat sab sunā bolī so sundar
kahā bhī kyā likhūñ gar
kahe bhī o parī-rū kar ke takrār
dekho phir kyā likhūñ bolā giraftār
kahī do-chār baar us kateñ tab
samaj ke dil mane dīvāna hai tab
dekhī to kuchh bhī paḌtā na likhtā
chupī-chap kyā likho kah kar bilakhtā
qalam yak haat aur yak haat qirtās
baiThā hairat-zada parde ke hai paas
kahī tab daa.ī kū ġhusse meñ aa kar
tū dīvāne kū kyuuñ laa.ī bulā kar
gayā thā kaañ terā tab hosh daa.ī
jo aise mast dīvāne kuuñ laa.ī
kahī tab daa.ī maiñ laa.ī thī syānā
itā distā huā ujḌā divāna
bhalā-chañgā suuñ mullā o disyā tab
bisar sab hosh dīvāna huā ab
lagā ab ke abhī meñ us ko shaitān
huā yak-bārgī bad-baḳht mastān
hamāre shahar meñ thā aa e che naamī
मोत aalam to kartā hai ġhulāmī
muā sab fāziloñ meñ o baḌā hai
na jaano kyā sabab us par khaḌā hai
hai saare mulk meñ us kā pukārā
jo kartā ḳhuub hai sadqa utārā
jahāñ lag bhot shaitāñ va ḳhabīsāñ
utarte us ke tābīzāñ soñ yak saañ
mue talpaT kī sab sun kar bhalā.ī
mūñDī kaaTe ko maiñ likhne bulā.ī
mue ke jiv ke gun maiñ jāntī kyā
karegā yo kakar pachhāntī kyā
kahī tab daa.ī ko de us ko jaane
bhot aalam meñ haiñ syāne divāne
kahī tab daa.ī miyāñ tum bhaar jaao
nako chup kyā likhūñ kar gul machāo
bulā le.uuñ tum to tab na.iiñ the divāne
bhale chañge dise tab mujko siyāne
yakāyak kyā huā maiñ tum po vaarī
bisar kar aql kā ga.ī hai tumārī
baḌ fāzil tumeñ mullā kalā kar
bha.ī kis achchhar kā pakḌā tum ko chhar
bhalā ab jaao apne ghar ko pyāre
huā kyā tum ko maiñ baarī tumāre
bisar shamla uThe kumlā ke mullā
rahā na.iiñ yaad tasbīh aur musallā
qalam dāvāt usī jaage saarā
uThā so kiyā likhūñ kar hāñkā maarā
lagā jab ishq kā saif du-dhārā
paDyā aalam meñ us kā kiyā likhūñ naam
rahā ho kar ḳhāk-goī gulfām
nahīñ hargiz kahīñ khātā thā khānā
thā phirtā kiyā likhūñ kartā divāna
sune yū baat jo shāgird saare
nañge pāvāñ che dauḌe sab bichāre
dekhe ustād kate kar qadam-bos
lage malne ko saare daste afsos
ke ai sāhab-e-karam fayyāz-e-ālam
ye tā kis paas jaanā dars ko ham
tume kaañ ga.e the ḳhat likhne kī ḳhātir
yakāyak kyā ghirā tuman par
'turab' ab kar raqam rangin-bayan-e-u
sune jo KHalq sara dastan-e-u
ite o dastan kahta hun yaran
hoega KHalq sab sun ashk-waran
bhai us ke kaam hai malum kis kun
apas ka bhed nai deta hai kis kun
diwane ko miyana kar dikhata
siyane ko diwana kar batata
suna hun gulshan-abaad ek nagar tha
waha ekh mah-jabin gul-ru ka ghar tha
nihayat husn mein autar thi o
kul panchaar mein KHunKHar thi o
athi yo pak-daman parsa nar
namaz-e-panch-waqta hor zikr chaar
kabhi nagha nahin karti thi aksar
chatur sab aurat mein thi bichittra
KHasam raazi raza-mand sab qabila
na jaane aurat ka makr-o-hila
achhe hil-mil hamesha o KHasam sun
ke jyun hai aashna sabit-qadam sun
kabhi koi nain hua aazudan-KHatir
athi KHush-KHulq mu dilbar wazahir
jahan aawaz na-mahram ka aawe
wo tauba kar wahan sun aTli jawe
ucha ghunghaT na sara munh ko khole
na baatan shoKH mil shoKHiyan sun bole
wa lekin saro-qad nazuk-badan thi
sakal KHuban mane jadu nayan thi
kaman abru nigahe KHanjar palak tir
ada saif du-dhaara zulaf zanjir
sar pa naznin dildar dil-bar
bala thi zulm thi zalim sitamgar
kahan lag us pari-ru ko sarau
dil aashiq mera kar kyun jalaun
gaya tha naukri ko us ka KHawind
akeli ghar mein thi dildar dil-band
hue the din jo koi shatir na aaya
KHabar bhi KHairiyat ki koi na laya
par us nagar o gul-badan nar
kahin mare gaya ya o bimar
kahe phir dai ko o yun bula kar
bula bula ko dai jald ja kar
bhot din so nahin aai KHabar hai
na jaane kya sabab un ke upar hai
o ab lag naukri kis ka kiye nain
jo ghar ki kuchh KHabar hargiz liye nain
ya kai lashkar mein ja sapDe hain ran mein
ya karai aTke hain shauq-o-rag-o-rang mein
ya koi sautan ne dil un ka bahlai
ya kis ke ja hue hain ghar janwai
bhot jadu-garan randan wahan hain
uno ja kar rahe chaakar wahan hain
mere bin yak ghaDi rahta nahin tha
mere bin baat karai karta nahin tha
ata bheja nai jhuTi kitabat
kiya hai ja ke shayad wahan ki aurat
kya to KHub hai jita rahe o
KHabar aai to us ki bas hai dekho
suni u baat so dai chali bhaar
bechaari nar kun karne giraftar
jahan paDte the laDke bhot se mil
wahan baiTha tha mulla yak fazil
le tasbih hat mein karta zikr tha
lagan ke dard sun o be-KHabar tha
rakhe shamla chira baadhe madur
kare shani-shariat kaam aksar
sunawe sab katen masla-masail
kari taslim ja kar us ko dai
haqiqat bol KHat likhne bulai
suna so dai sun mulla ne u baat
chala le kar qalam dawat sangat
KHabar bibi ko de aaya hai mulla
kahe bibi use ghar mein bula yahan
unen but-ghar mein gosha kar bulai
bichhauna karte parde kan biThai
api baiThi sundar parde ke andar
bula mulla kun apne ghar bhitar
biTha parde kane mulla bichaara
suno bari lagan ka yak nazara
ganwaya parsa ki parsai
kiya zohd-o-riya ki jag-hansai
puchha le hat mein mulla KHama
haqiqat kya likhun so wo nama
dekha to o pari ru jhakti thi
ghurur-e-husn mein jiyun mad-mati thi
hue ek bar jo chak chaar donon
rahe hairat sun ho lachaar donon
yakayak dekh diwana hua tab
laga kahne ko bolo kya likhun ab
kahe o naznin sab apna ahwal
na samji o hua so dekh behaal
haqiqat sab suna boli so sundar
kaha bhi kya likhun gar
kahe bhi o pari-ru kar ke takrar
dekho phir kya likhun bola giraftar
kahi do-chaar bar us katen tab
samaj ke dil mane diwana hai tab
dekhi to kuchh bhi paDta na likhta
chupi-chap kya likho kah kar bilakhta
qalam yak hat aur yak hat qirtas
baiTha hairat-zada parde ke hai pas
kahi tab dai ku ghusse mein aa kar
tu diwane ku kyun lai bula kar
gaya tha kan tera tab hosh dai
jo aise mast diwane kun lai
kahi tab dai main lai thi syana
ita dista hua ujDa diwana
bhala-changa sun mulla o disya tab
bisar sab hosh diwana hua ab
laga ab ke abhi mein us ko shaitan
hua yak-bargi bad-baKHt mastan
hamare shahar mein tha aa e che nami
मोत aalam to karta hai ghulami
mua sab fazilon mein o baDa hai
na jaano kya sabab us par khaDa hai
hai sare mulk mein us ka pukara
jo karta KHub hai sadqa utara
jahan lag bhot shaitan wa KHabisan
utarte us ke tabizan son yak san
mue talpaT ki sab sun kar bhalai
munDi kaTe ko main likhne bulai
mue ke jiw ke gun main jaanti kya
karega yo kakar pachhanti kya
kahi tab dai ko de us ko jaane
bhot aalam mein hain syane diwane
kahi tab dai miyan tum bhaar jao
nako chup kya likhun kar gul machao
bula leun tum to tab nain the diwane
bhale change dise tab mujko siyane
yakayak kya hua main tum po wari
bisar kar aql ka gai hai tumari
baD fazil tumen mulla kala kar
bhai kis achchhar ka pakDa tum ko chhar
bhala ab jao apne ghar ko pyare
hua kya tum ko main bari tumare
bisar shamla uThe kumla ke mulla
raha nain yaad tasbih aur musalla
qalam dawat usi jage sara
uTha so kiya likhun kar hanka mara
laga jab ishq ka saif du-dhaara
paDya aalam mein us ka kiya likhun nam
raha ho kar KHak-goi gulfam
nahin hargiz kahin khata tha khana
tha phirta kiya likhun karta diwana
sune yu baat jo shagird sare
nange pawan che dauDe sab bichaare
dekhe ustad kate kar qadam-bos
lage malne ko sare daste afsos
ke ai sahab-e-karam fayyaz-e-alam
ye ta kis pas jaana dars ko hum
tume kan gae the KHat likhne ki KHatir
yakayak kya ghira tuman par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.