Sufinama

risala barah bahaar

Shah Miyan Turab Dakni

risala barah bahaar

Shah Miyan Turab Dakni

MORE BYShah Miyan Turab Dakni

    are man mujhe bol terā Thikāna

    kahāñ huā hai yahāñ terā aanā

    na terā yahāñ khīsh koī begāna

    yahāñ suuñ kahāñ phir terā hogā jaanā

    agar hai pardesī jogī syānā

    are man nako re nako ho dīvāna

    jiye lag to jorū bachche pyaar karte

    muue par to murda kakar meñ Darte

    tere saat hargiz nahīñ koī marte

    tujhe gaaḌ maaTī meñ saare bisarte

    ye aisā hai parpanch jhūTā jamānā

    are man nako re nako ho dīvāna

    ye tan-man sakal dhan badal jaane haare

    apas kuuñ tuuñ maayā meñ ghālnā re

    sukh ānand us ko pālnā re

    har-ek bhāñt jiine ke din Tālnā re

    jo hushiyār gunvant chātur hai raanā

    are man nako re nako ho divāna

    yahāñ chup do din musāfir ho aayā

    barābar hai tuj jo apnā parāyā

    abas jag ke dhandhe meñ shud gañvāyā

    nahīñ kaam āye.gā apnā parāyā

    bisar ko apnā so vo ghar purānā

    are man nako re nako ho divāna

    ye maaTī ke tan sigārtā

    use chup khilātā hai ke duudh or ghī

    nikal jā.egā tan jis vaqt par

    rahegī vo āḳhir maaTī maaTī

    मिथा buuj kar chup ye jhūThā jamānā

    are man nako re nako ho divāna

    bachche aur jorū na kuchh aa.egā kaam

    ke jab maut tuj kuuñ āvegā paiġhām

    devegā terī tuuch jhaḌtī sub.h-shām

    bisar ke dhandhe manī-rām naam

    chupī ātmā-rām kar-kar bahāna

    are man nako re nako ho divāna

    ruupā aur sonā tuuñ ek baar dekhat

    akaḌtā hai kyuuñ pahan zar-tār kasvat

    sabā maar lātoñ se levegī izzat

    bisar jāvegā tab ye dhan maal daulat

    ye duniyā ke maal kuuñ patyānā

    are man nako re nako ho divāna

    achā dekh chīra kisī ke sar par

    apan kuuñ nahīñ kar ko hasrat nako kar

    nahīñ kaam āye.gā ye hirs āḳhir

    baqā jaan faanī terā samajh par

    mudāmī samajh kar is Thikāna

    are man nako re nako ho divāna

    ye sansār suuñ haat dhonā hai āḳhir

    sage-sodre mil ko ronā hai āḳhar

    qabar meñ akelā che sonā hai āḳhir

    tujhe ḳhāk-dar-ḳhāk honā hai āḳhir

    ........... ......... legā dekhat bichhānā

    are man nako re nako ho divāna

    are man tujhe raam ghar kate haiñ

    bha.ī pañch-bhūt tujh jevar kateñ haiñ

    munavvar sajā arsh-e-akbar kate haiñ

    terā rutvā sab meñ buland-tar kate haiñ

    ye bastī so duniyā po ho kar divāna

    are man nako re nako ho divāna

    qabar meñ terā koī saatī nahīñ hai

    kaThin vaqt koī sagātī nahīñ hai

    ba-juz raam ke koī saatī nahīñ hai

    ke jis dil meñ ishq zaatī nahīñ hai

    agar is balā se apan kuuñ bachānā

    are man nako re nako ho divāna

    'turāb' se tujhe kaam jab aa paḌegā

    ho kar ghābrā tab nipaT gir paḌegā

    terā tuj lene denā paḌegā

    us vaqt par bol kis se laḌegā

    jam.a kar ko sab māl-dhan ḳhazāna

    are man nako re nako ho divāna

    ai pañch-bhūt kyā hai chup itnā sāñsā

    ghaḌī meñ jo tolā ghaḌī meñ jo maasā

    begāna karoge charan se thī aasā

    na rahiye upāmā rahiye udāsā

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis se kāñsā

    amīrāñ so behtar faqīrāñ kalāte

    samaj farsh maḳhmal bagambar bichhāte

    mankā koī khaa.e to koī mānik khāte

    ho kar ḳhāk-dar-ḳhāk shāhī jagāte

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis ne kāñsā

    jo bāñdā lañgoTā lagā ḳhaak tan kuuñ

    diyā chhoḌ ek baar jab un vatan kuuñ

    jalā ishq baat meñ māl-o-dhan kuuñ

    rakhī kaas paas hargiz kafan kuuñ

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis se kāñsā

    gadā māñge khātā hai TukḌe ghar-ghar

    lagā kar lañgoTe kalātā qalandar

    oḌe gūdaḌī hor bichhāve baganvar

    rakhe faḳhr dāyam shāhā ke uupar

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis se kāñsā

    faqīro meñ kyā fikr darkār hai re

    hamesha terā garm bāzār hai re

    o ravāq mutlaq ḳharīdār hai re

    har-yak po haadī dātār hai re

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis ne kāñsā

    na kisī ke bhale bolne ḳhush-hālī

    na parvā-e-tahsīn hai Dar va gaalī

    chāheñ garm lihāf bazm-e-nihālī

    na dil meñ dard kuchh ġham kahat saalī

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis ne kāñsā

    hazārāñ suuñ paivand kiye gūdaḌī par

    rakhā naam us va bistar

    samajhtā hai us kuuñ va az kisvat-e-zar

    na kis Thag vishvās chor Dar

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis ne kāñsā

    gadā kāsa-e-bañg jis vaqt chaḌhāve

    maiñ purtagālī na ḳhātir meñ laave

    bichhā kar bgambar shahanshāh phalāve

    o takiya-nashīñ ka.iin na jaave na aave

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis ne kāñsā

    karam gadā haat jis pakaḌte

    basar muflisī taḳht-e-shāhī o chaḌte

    gadā kis hargiz na laḌte-jhagaḌte

    na duniyā-o-daulat kuuñ dekhat akaḌte

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis ne kāñsā

    jo duniyā meñ sābit muhibb-e-alī hai

    sadā us ke haq meñ faqīrī bhalī hai

    gadā.ī kare hor kalāve valī hai

    use jag rusvā.ī meñ kāmilī hai

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā bhiik haat meñ jis ne kāñsā

    diyā aaj so o e che phir devegā kal

    nako ho tuuñ chup kal dhoka bekal

    samaj kar sadā boriyā farsh maḳhmal

    'turāb' suḳhan ye sadā jaan afzal

    are man use kyā hai duniyā jhāñsā

    liyā haat meñ bhiik jis ne kāñsā

    are man mujhe bol tera Thikana

    kahan su hua hai yahan tera aana

    na tera yahan khish na koi begana

    yahan sun kahan phir tera hoga jaana

    agar tu hai pardesi jogi syana

    are man nako re nako ho diwana

    jiye lag to joru bachche pyar karte

    mue par to murda kakar ji mein Darte

    tere sat hargiz nahin koi marte

    tujhe gaD maTi mein sare bisarte

    ye aisa hai parpanch jhuTa jamana

    are man nako re nako ho diwana

    ye tan-man sakal dhan badal jaane haare

    apas kun tun maya mein na ghaalna re

    sukh aanand su us ko na palna re

    har-ek bhant jine ke din Talna re

    jo hushiyar gunwant chatur hai rana

    are man nako re nako ho diwana

    yahan chup tu do din musafir ho aaya

    barabar hai tuj ku jo apna paraya

    abas jag ke dhandhe mein tu shud ganwaya

    nahin kaam aayega apna paraya

    bisar ja ko apna so wo ghar purana

    are man nako re nako ho diwana

    ye maTi ke tan ku tu sigarta ki

    use chup khilata hai ke dudh or ghi

    nikal jaega tan su jis waqt par ji

    rahegi wo aaKHir ku maTi ki maTi

    मिथा buj kar chup ye jhuTha jamana

    are man nako re nako ho diwana

    bachche aur joru na kuchh aaega kaam

    ke jab maut ka tuj kun aawega paigham

    dewega teri tuch jhaDti subh-sham

    bisar ja ke dhandhe mani-ram ka nam

    chupi aatma-ram kar-kar bahana

    are man nako re nako ho diwana

    rupa aur sona tun ek bar dekhat

    akaDta hai kyun pahan zar-tar kaswat

    saba mar laton se lewegi izzat

    bisar jawega tab ye dhan mal daulat

    ye duniya ke mal kun na patyana

    are man nako re nako ho diwana

    acha dekh chira kisi ke tu sar par

    apan kun nahin kar ko hasrat nako kar

    nahin kaam aayega ye hirs aaKHir

    baqa jaan fani tera yu samajh par

    mudami samajh kar is ka Thikana

    are man nako re nako ho diwana

    ye sansar sun hat dhona hai aaKHir

    sage-sodre mil ko rona hai aaKHar

    qabar mein akela che sona hai aaKHir

    tujhe KHak-dar-KHak hona hai aaKHir

    lega dekhat bichhana

    are man nako re nako ho diwana

    are man tujhe ram ka ghar kate hain

    bhai panch-bhut ka tujh ku jewar katen hain

    munawwar saja arsh-e-akbar kate hain

    tera rutwa sab mein buland-tar kate hain

    ye basti so duniya po ho kar diwana

    are man nako re nako ho diwana

    qabar mein tera koi sati nahin hai

    kaThin waqt ka koi sagati nahin hai

    ba-juz ram ke koi sati nahin hai

    ke jis dil mein ishq zati nahin hai

    agar is bala se apan kun bachana

    are man nako re nako ho diwana

    'turab' se tujhe kaam jab aa paDega

    ho kar ghabra tab nipaT gir paDega

    tera tuj ku lene ka dena paDega

    tu us waqt par bol kis se laDega

    jama kar ko sab mal-dhan ka KHazana

    are man nako re nako ho diwana

    ai panch-bhut kya hai chup itna sansa

    ghaDi mein jo tola ghaDi mein jo masa

    begana karoge charan se thi aasa

    na rahiye upama na rahiye udasa

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis se kansa

    amiran so behtar faqiran kalate

    samaj farsh maKHmal bagambar bichhate

    manka koi khae to koi manik khate

    ho kar KHak-dar-KHak shahi jagate

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis ne kansa

    jo banda langoTa laga KHak tan kun

    diya chhoD ek bar jab un watan kun

    jala ishq ki baat mein mal-o-dhan kun

    rakhi kas na pas hargiz kafan kun

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis se kansa

    gada mange khata hai TukDe ghar-ghar

    laga kar langoTe kalata qalandar

    oDe gudaDi hor bichhawe baganwar

    rakhe faKHr dayam tu shaha ke upar

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis se kansa

    faqiro mein kya fikr darkar hai re

    hamesha tera garm bazar hai re

    o rawaq mutlaq KHaridar hai re

    har-yak ja po hadi sa datar hai re

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis ne kansa

    na kisi ke bhale bolne ki KHush-haali

    na parwa-e-tahsin hai na Dar wa gali

    na chahen garm lihaf na bazm-e-nihaali

    na dil mein dard kuchh gham kahat sali

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis ne kansa

    hazaran sun paiwand kiye gudaDi par

    rakha nam us ka wa bistar

    samajhta hai us kun wa az kiswat-e-zar

    na kis Thag ka wishwas na chor ka Dar

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis ne kansa

    gada kasa-e-bang jis waqt chaDhawe

    main purtagali na KHatir mein lawe

    bichha kar bgambar shahanshah phalawe

    o takiya-nashin kain na jawe na aawe

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis ne kansa

    karam su gada hat jis ka pakaDte

    basar muflisi taKHt-e-shahi o chaDte

    gada kis su hargiz na laDte-jhagaDte

    na duniya-o-daulat kun dekhat akaDte

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis ne kansa

    jo duniya mein sabit muhibb-e-ali hai

    sada us ke haq mein faqiri bhali hai

    gadai kare hor kalawe wali hai

    use jag ki ruswai mein kaamili hai

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya bhik ka hat mein jis ne kansa

    diya aaj so o e che phir dewega kal

    nako ho tun chup kal ku dhoka su bekal

    samaj kar sada boriya farsh maKHmal

    'turab' ka suKHan ye sada jaan afzal

    are man use kya hai duniya ka jhansa

    liya hat mein bhik ka jis ne kansa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now