piyaa ke dekhan ko jiyaa lalchaa.e
piyaa ke dekhan ko jiyaa lalchaa.e
Maulana Abdul Qadeer Hasrat
MORE BYMaulana Abdul Qadeer Hasrat
piyaa ke dekhan ko jiyaa lalchaa.e
chain nahii.n hai mujh ko piyaa bin
haaye piyaa nahii.n aa.e
jis ko piyaa kii lagan lagii ho
us ko kuchh na suhaa.e
chhupnaa thaa to na milnaa thaa
mil kar kyuu.n chhup jaa.e
priit kii agiyaa jis tan laage
haaye dukhiyaa sukh jaa.e
kar ke priit ab kyaa pachtaanaa
jo kuchh ho ho jaa.e
prem kaa madvaa saa.ii.n pilaa kar
sudh-budh sab le jaa.e
jis kii bayyaa.n pak.De sayyaa.n
vo raanii kahlaa.e
jis ke man me.n saa.ii.n basaa ho
duujaa kaun samaa.e
man me.n bas kar nain se ojhal
kaun use phir paa.e
jo muu.nd aa.nkhe.n saa.ii.n ko Dhuu.nDe
saa.ii.n use mil jaa.e
jo kho jaa.e saa.ii.n kii dhun me.n
mahaa-puruush kahlaa.e
saa.ii.n kaa naam jape jo 'hasrat'
saa.ii.n vahii ho jaa.e
piyaa ke dekhan ko jiyaa lalchaa.e
chain nahii.n hai mujh ko piyaa bin
haaye piyaa nahii.n aa.e
jis ko piyaa kii lagan lagii ho
us ko kuchh na suhaa.e
chhupnaa thaa to na milnaa thaa
mil kar kyuu.n chhup jaa.e
priit kii agiyaa jis tan laage
haaye dukhiyaa sukh jaa.e
kar ke priit ab kyaa pachtaanaa
jo kuchh ho ho jaa.e
prem kaa madvaa saa.ii.n pilaa kar
sudh-budh sab le jaa.e
jis kii bayyaa.n pak.De sayyaa.n
vo raanii kahlaa.e
jis ke man me.n saa.ii.n basaa ho
duujaa kaun samaa.e
man me.n bas kar nain se ojhal
kaun use phir paa.e
jo muu.nd aa.nkhe.n saa.ii.n ko Dhuu.nDe
saa.ii.n use mil jaa.e
jo kho jaa.e saa.ii.n kii dhun me.n
mahaa-puruush kahlaa.e
saa.ii.n kaa naam jape jo 'hasrat'
saa.ii.n vahii ho jaa.e
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 368)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.