Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mukhDa to kahan dekhi thi han ek jhalak si

Aarzu Lakhnavi

mukhDa to kahan dekhi thi han ek jhalak si

Aarzu Lakhnavi

MORE BYAarzu Lakhnavi

    mukhḌā to kahāñ dekhī thī haañ ek jhalak

    ab tak hue jaatī hai kaleje meñ chamak

    chubhte hue dekhā hai na kāñTā na koī phāñs

    ai saañs batā de ye hai kaahe khaTak

    hai dekhnā bijlī burā jot na jal jaa.e

    us par bhī jo āñkheñ nahīñ bas to palak

    kuchh aur kahnā nahīñ ai 'ārzū' un se

    haañ ye ki satā jaatī hai aa aa ke lalak

    mukhDa to kahan dekhi thi han ek jhalak si

    ab tak hue jati hai kaleje mein chamak si

    chubhte hue dekha hai na kanTa na koi phans

    ai sans bata de ye hai kahe ki khaTak si

    hai dekhna bijli ka bura jot na jal jae

    us par bhi jo aankhen nahin bas ki to palak si

    kuchh aur tu kahna nahin ai 'arzu' un se

    han ye ki sata jati hai aa aa ke lalak si

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now