Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

apne ko tere dhyan mein jis ne miTa diya

Aarzu Lakhnavi

apne ko tere dhyan mein jis ne miTa diya

Aarzu Lakhnavi

MORE BYAarzu Lakhnavi

    apne ko tere dhyān meñ jis ne miTā diyā

    bhaTke huoñ ko paas rastā batā diyā

    Thahrā na mujhī ko Thikāne lagā diyā

    ai dene vaale ne diyā bhī to kyā diyā

    ulTī kahī samajh ke jo kahne baat thī

    hoñT us ke yuuñ hile ki kalejā hilā diyā

    kyūñkar paḌhūñ ki kyā hai lakīroñ meñ haath

    jo likhā āñsuoñ ne Tapak kar miTā diyā

    jhapkī thī jis se aañkh vo bijlī bhī ab nahīñ

    tarsānā thā tum ko to kyuuñ aasrā diyā

    āñkhoñ se āñkheñ milte dīvāne ho ga.e

    phir bhar ke un kaToriyoñ meñ tum ne kyā diyā

    maiñ soch meñ thā ki lagī hai kahāñ pe choT

    ik huuk yuuñ uThī ki Thikānā batā diyā

    do sūteñ chal rahī haiñ ab āñkheñ nahīñ rahīñ

    Dheloñ ko paanī kar ke lagī ne bahā diyā

    chauñk 'ārzū' ki saañs dhuāñ de rahī hai ab

    chhālā na jaan ubharte jis ko dabā diyā

    apne ko tere dhyan mein jis ne miTa diya

    bhaTke huon ko pas ka rasta bata diya

    Thahra na ji mujhi ko Thikane laga diya

    ai dene wale tu ne diya bhi to kya diya

    ulTi kahi samajh ke jo kahne ki baat thi

    honT us ke yun hile ki kaleja hila diya

    kyunkar paDhun ki kya hai lakiron mein hath ki

    jo likha aansuon ne Tapak kar miTa diya

    jhapki thi jis se aankh wo bijli bhi ab nahin

    tarsana hi tha tum ko to kyun aasra diya

    aankhon se aankhen milte hi diwane ho gae

    phir bhar ke un kaToriyon mein tum ne kya diya

    main soch hi mein tha ki lagi hai kahan pe choT

    ek huk yun uThi ki Thikana bata diya

    do suten chal rahi hain ab aankhen nahin rahin

    Dhelon ko pani kar ke lagi ne baha diya

    chaunk 'arzu' ki sans dhuan de rahi hai ab

    chhaala na jaan ubharte hi jis ko daba diya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now