Font by Mehr Nastaliq Web

dil le ke khaDa hun sar-e-bazar-e-mohabbat

Aas Rahbar Kalkattavi

dil le ke khaDa hun sar-e-bazar-e-mohabbat

Aas Rahbar Kalkattavi

MORE BYAas Rahbar Kalkattavi

    dil le ke khaḌā huuñ sar-e-bāzār-e-mohabbat

    kyā dil ko ḳharīdeñge ḳharīdār-e-mohabbat

    dil haar gayā aur sukūñ bhī huā ġhārat

    is tarh se huuñ barsar-e-paikār-e-mohabbat

    vo sāmne aa jaa.e to siine se lagā luuñ

    āġhosh meñ le kar karūñ iqrār-e-mohabbat

    chehre pe chamak aa.e sukūñ bhī ho muyassar

    ho jaa.e mere dil ko jo dīdār-e-mohabbat

    ab chhoḌiye bhī shikve shikāyāt ke ambār

    ik dūsre se kījiye iz.hār-e-mohabbat

    ārām mile mujh ko jo ho 'rahbar' ziyārat

    kahtā huuñ jise pyaar se maiñ yār-e-mohabbat

    dil le ke khaDa hun sar-e-bazar-e-mohabbat

    kya dil ko KHaridenge KHaridar-e-mohabbat

    dil haar gaya aur sukun bhi hua ghaarat

    is tarh se hun barsar-e-paikar-e-mohabbat

    wo samne aa jae to sine se laga lun

    aaghosh mein le kar karun iqrar-e-mohabbat

    chehre pe chamak aae sukun bhi ho muyassar

    ho jae mere dil ko jo didar-e-mohabbat

    ab chhoDiye bhi shikwe shikayat ke ambar

    ek dusre se kijiye izhaar-e-mohabbat

    aaram mile mujh ko jo ho 'rahbar' ki ziyarat

    kahta hun jise pyar se main yar-e-mohabbat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now