dil mera la-pata nahin hota
dil mirā lā-patā nahīñ hotā
aap se gar lagā nahīñ hotā
zindagī maiñ agar na milte aap
maiñ kabhī aap kā nahīñ hotā
vo haiñ ahl-e-ġharaz mohabbat meñ
is liye rābta nahīñ hotā
'ishq hī maiñ agar na karatā to
be-vafā be-vafā nahīñ hotā
vo mire 'ishq kā bharam rakhtā
dil mirā phir ḳhafā nahīñ hotā
be-karāñ rāhateñ sukūn-e-dil
vo jo hotā to kyā nahīñ hotā
aadmī aadmī hī hotā hai
aadmī to ḳhudā nahīñ hotā
aap ko hai koī ġhalat-fahmī
'ishq meñ marhala nahīñ hotā
māl-o-daulat hai lāzmī 'rahbar'
'ishq phir mas.ala nahīñ hotā
dil mera la-pata nahin hota
aap se gar laga nahin hota
zindagi main agar na milte aap
main kabhi aap ka nahin hota
wo hain ahl-e-gharaz mohabbat mein
is liye rabta nahin hota
'ishq hi main agar na karata to
be-wafa be-wafa nahin hota
wo mere 'ishq ka bharam rakhta
dil mera phir KHafa nahin hota
be-karan rahaten sukun-e-dil
wo jo hota to kya nahin hota
aadmi aadmi hi hota hai
aadmi to KHuda nahin hota
aap ko hai koi ghalat-fahmi
'ishq mein marhala nahin hota
mal-o-daulat hai lazmi 'rahbar'
'ishq phir masala nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.