ishq mein ai kohkan kya zaKHm-e-sar darkar tha
ishq meñ ai kohkan kyā zaḳhm-e-sar darkār thā
zaḳhm-e-dil darkār thā zaḳhm-e-jigar darkār thā
uḌ ke jaanā bām-e-jānāñ tak magar darkār thā
murġh-e-dil ko bāzū-e-murġh-e-nazar darkār thā
soz-e-dil se dast-e-mātam panja-e-ḳhūñ kis liye
haañ shab-e-ġham chāk-dāmān-e-sahar darkār thā
pāk-bāzī apnī paiġhām-e-talab thī ishq meñ
dho ke dāġh-e-tohmat-e-hastī safar darkār thā
qarz kī kuchh guftugū āshiq se karte the raqīb
naale to kuchh kam na the shāyad asar darkār thā
ahl the mahrūmī-e-dīdār ke tum ai kalīm
maiñ azal kā be-jigar mujh ko jigar darkār thā
kyā sharāb-e-husn-e-sāqī jāñ-fizā thī vāh-vā
mai-gusāro sāġhar-e-zuq-e-nazar darkār thā
chāk-hā-e-dil ke Tāñke itnī be-rahmī ke saath
dard-e-dil tujh ko bhī kuchh ai chāra-gar darkār thā
mujh se be-miqdār kā dil aur jalva aap kā
sach hai ai ḳhurshīd har zarre meñ ghar darkār thā
dāġh-e-sozāñ chhoḌ kar āshiq ne lī rāh-e-adam
pisaro tum ko charāġh-e-rahguzar darkār thā
daaġh apnā de ke 'āsī' ne lī jo rāh-e-adam
pisaro tum ko charāġh-e-rahguzar darkār thā
lazzat-e-āzār 'āsī' ke samajhne ke liye
dard-e-dil tujh ko bhī kuchh ai chāra-gar darkār thā
ishq mein ai kohkan kya zaKHm-e-sar darkar tha
zaKHm-e-dil darkar tha zaKHm-e-jigar darkar tha
uD ke jaana baam-e-jaanan tak magar darkar tha
murgh-e-dil ko bazu-e-murgh-e-nazar darkar tha
soz-e-dil se dast-e-matam panja-e-KHun kis liye
han shab-e-gham chaak-daman-e-sahar darkar tha
pak-bazi apnī paigham-e-talab thi ishq mein
dho ke dagh-e-tohmat-e-hasti safar darkar tha
qarz ki kuchh guftugu aashiq se karte the raqib
nale to kuchh kam na the shayad asar darkar tha
ahl the mahrumi-e-didar ke tum ai kalim
main azal ka be-jigar mujh ko jigar darkar tha
kya sharab-e-husn-e-saqi jaan-fiza thi wah-wa
mai-gusaro saghar-e-zuq-e-nazar darkar tha
chaak-ha-e-dil ke Tanke itni be-rahmi ke sath
dard-e-dil tujh ko bhi kuchh ai chaara-gar darkar tha
mujh se be-miqdar ka dil aur jalwa aap ka
sach hai ai KHurshid har zarre mein ghar darkar tha
dagh-e-sozan chhoD kar aashiq ne li rah-e-adam
pisaro tum ko charagh-e-rahguzar darkar tha
dagh apna de ke 'asi' ne li jo rah-e-adam
pisaro tum ko charagh-e-rahguzar darkar tha
lazzat-e-azar 'asi' ke samajhne ke liye
dard-e-dil tujh ko bhi kuchh ai chaara-gar darkar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.