dil mein teri yaad ka hangam hai
dil meñ terī yaad kā hañgām hai
vaah kyā labrez merā jaam hai
rū-shanās-e-husn kyuuñ mujh ko kiyā
ab ye kaisā 'ishq kā ilzām hai
zindagī dī aur ye bhī kah diyā
tere qabza meñ tirā anjām hai
tum na aao ham samajh leñge yahī
ek ye bhī gardish-e-ayyām hai
rahbar-e-ulfat kī yā-rab ḳhair ho
manzil ulfat bahut badnām hai
tum ko āñkhoñ ne na dekhā ho kahīñ
dil kī duniyā meñ mirī kohrām hai
dil mujhe degā du'ā.eñ dil ko maiñ
gar yahī andāz-e-sub.h-o-shām hai
laao rakh leñ ham kaleja meñ use
ye tumhāre saath kis kā naam hai
dil mein teri yaad ka hangam hai
wah kya labrez mera jam hai
ru-shanas-e-husn kyun mujh ko kiya
ab ye kaisa 'ishq ka ilzam hai
zindagi di aur ye bhi kah diya
tere qabza mein tera anjam hai
tum na aao hum samajh lenge yahi
ek ye bhi gardish-e-ayyam hai
rahbar-e-ulfat ki ya-rab KHair ho
manzil ulfat bahut badnam hai
tum ko aankhon ne na dekha ho kahin
dil ki duniya mein meri kohram hai
dil mujhe dega du'aen dil ko main
gar yahi andaz-e-subh-o-sham hai
lao rakh len hum kaleja mein use
ye tumhaare sath kis ka nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.