but ka pujari ban ja pagle miTha phal tu paega
but kā pujārī ban jā pagle mīThā phal tū pā.egā
duniyā ke sab chhoḌ bakhere pīchhe tū pachhtā.egā
man mandir ke khol ke paT tū tīkhī najar se dekh zarā
kañḌ kañḌ meñ bhagvān birāje tujh ko najar phir aa.egā
karm dharm kī raah kaThin hai is pe chalnā hai dushvār
prem Dagar meñ aa jā pagle dukh se muktī pā.egā
guru ke pāvan charnoñ meñ tū shīsh jhukā de ai pagle
māyā-jāl se niklegā tū moksh usī se pā.egā
man se apne pūchh ai 'kāvish' sachchā mitr yahī to he
mullā panDit rakshasoñ se dhoke kab tak khā.egā
but ka pujari ban ja pagle miTha phal tu paega
duniya ke sab chhoD bakhere pichhe tu pachhtaega
man mandir ke khol ke paT tu tikhi najar se dekh zara
kanD kanD mein bhagwan biraje tujh ko najar phir aaega
karm dharm ki rah kaThin hai is pe chalna hai dushwar
prem Dagar mein aa ja pagle dukh se mukti paega
guru ke pawan charnon mein tu shish jhuka de ai pagle
maya-jal se niklega tu moksh usi se paega
man se apne puchh ai 'kawish' sachcha mitr yahi to he
mulla panDit rakshason se dhoke kab tak khaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.