takHta-e-mashq-e-jafa Thahra to ye dil Thahra
takHta-e-mashq-e-jafā Thahrā to ye dil Thahrā
chuur jo shīsha huā un ke muqābil Thahrā
jafā se tum na baaz aao to badleñ ham vafā se kyuuñ
tumheñ vo kaam aa.egā hameñ ye kaam aa.egā
sharārat naaz ġhamza sādgī shoḳhī adā ḳhūbī
mujhe ik shān-e-jalvat tuune ḳhalvat meñ dikhā.ī hai
ḳhirman-e-hastī jalāyā Dāl-dī jis par nazar
nāz-o-gamze meñ bhī uske barq kī tāsīr hai
kahnā ye nāma-bar ki thī hasrat-e-dīd mar ke bhī
āñkheñ khulī hī rah ga.iiñ aap ke intizār meñ
saḳht jaañ meñ aur mire qātil kā nāzuk dast-e-nāz
haaye us par dhaar muḌ kar rah ga.ī shamshīr kī
daad detā huuñ dil-e-zaḳhmī meñ tīr-andāz ko
tiir to niklā magar paikāñ judā hotā nahīñ
din-rāt zulf-o-ruḳh kā tasavvur hai aur ham
bas mubtalā haiñ gardish-e-lail-o-nahār meñ
guzārī ik umr sar paTak kar tumhāre dar par b-āh-o-zārī
magar tumhāre na sañg-e-dar ko ḳhayāl aayā mirī jabīñ kā
sharāb-e-mohabbat kī lazzat na pūchho
piye jā rahā huuñ magar tishnagī hai
takHta-e-mashq-e-jafa Thahra to ye dil Thahra
chur jo shisha hua un ke muqabil Thahra
jafa se tum na baz aao to badlen hum wafa se kyun
tumhein wo kaam aaega hamein ye kaam aaega
shararat naz ghamza sadgi shoKHi ada KHubi
mujhe ek shan-e-jalwat tune KHalwat mein dikhai hai
KHirman-e-hasti jalaya Dal-di jis par nazar
naz-o-gamze mein bhi uske barq ki tasir hai
kahna ye nama-bar ki thi hasrat-e-did mar ke bhi
aankhen khuli hi rah gain aap ke intizar mein
saKHt jaan mein aur mere qatil ka nazuk dast-e-naz
haye us par dhaar muD kar rah gai shamshir ki
dad deta hun dil-e-zaKHmi mein tir-andaz ko
tir to nikla magar paikan juda hota nahin
din-raat zulf-o-ruKH ka tasawwur hai aur hum
bas mubtala hain gardish-e-lail-o-nahaar mein
guzari ek umr sar paTak kar tumhaare dar par b-ah-o-zari
magar tumhaare na sang-e-dar ko KHayal aaya meri jabin ka
sharab-e-mohabbat ki lazzat na puchho
piye ja raha hun magar tishnagi hai
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 80)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.