Sufinama

ye kis ke aastane ki zamin malum hoti hai

Afqar Mohani

ye kis ke aastane ki zamin malum hoti hai

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    ye kis ke āstāne zamīñ ma.alūm hotī hai

    ki jumbish meñ mirī lauh-e-jabīñ ma.alūm hotī hai

    do-rañgī dair-o-ka.aba nahīñ ma.alūm hotī hai

    haqīqat-āshnā merī jabīñ ma.alūm hotī hai

    maiñ chāhūñ bhī to sañg-e-āstāñ se uTh nahīñ saktā

    ki juzv-e-āstāñ apnī jabīñ ma.alūm hotī hai

    davāñ ho kashti-e-umr-e-ravāñ yuuñ bahr-e-hastī meñ

    kahīñ ubhrī kahīñ Duubī kahīñ ma.alūm hotī hai

    ye ik be-rabt jāma-darī aur apne hāthoñ

    jahāñ pahle thā dāman āstīñ ma.alūm hotī hai

    ye jalva-zār-e-duniyā bhī ajab ā.īna-ḳhāna hai

    ki har tasvīr hasrat-āfrīñ ma.alūm hotī hai

    batātā go he jazb-e-shauq kosoñ ishq manzil

    magar kahtā hai yuuñ goyā yahīñ ma.alūm hotī hai

    tajallī husn-e-jānāñ nahīñ mauqūf aiman par

    jahāñ mahsūs kartā huuñ vahīñ ma.alūm hotī hai

    nazar aate haiñ jalve do-jahāñ ke un chaukhaT par

    ḳhudā.ī ab mire zer-e-nagīñ ma.alūm hotī hai

    utar aayā hai naqsha āstān-e-yār 'afqar'

    jabīn-e-shauq ab merī jabīñ ma.alūm hotī hai

    ye kis ke aastane ki zamin malum hoti hai

    ki jumbish mein meri lauh-e-jabin malum hoti hai

    do-rangi dair-o-kaba ki nahin malum hoti hai

    haqiqat-ashna meri jabin malum hoti hai

    main chahun bhi to sang-e-astan se uTh nahin sakta

    ki juzw-e-astan apni jabin malum hoti hai

    dawan ho kashti-e-umr-e-rawan yun bahr-e-hasti mein

    kahin ubhri kahin Dubi kahin malum hoti hai

    ye ek be-rabt si jama-dari aur apne hi hathon

    jahan pahle tha daman aastin malum hoti hai

    ye jalwa-zar-e-duniya bhi ajab aaina-KHana hai

    ki har taswir hasrat-afrin malum hoti hai

    batata go he jazb-e-shauq koson ishq ki manzil

    magar kahta hai yun goya yahin malum hoti hai

    tajalli husn-e-jaanan ki nahin mauquf aiman par

    jahan mahsus karta hun wahin malum hoti hai

    nazar aate hain jalwe do-jahan ke un ki chaukhaT par

    KHudai ab mere zer-e-nagin malum hoti hai

    utar aaya hai naqsha aastan-e-yar ka 'afqar'

    jabin-e-shauq ab meri jabin malum hoti hai

    Source :
    • Book : Nazargah (Pg. 84)
    • Author : Afqar Warsi
    • Publication : Siddiq Book Depot, Lucknow (1961)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now