shikast-e-KHatir-e-ashiq mein hai rang unki mahfil ka
shikast-e-KHatir-e-ashiq mein hai rang unki mahfil ka
Afsar Siddiqi Amrohvi
MORE BYAfsar Siddiqi Amrohvi
shikast-e-ḳhātir-e-'āshiq meñ hai rañg un kī mahfil kā
usī tasvīr par hai ā.īna TuuTe hue dil kā
tumheñ aañsū to samjhūñ maiñ ki manzil 'ishq kī aa.ī
chalā karatā hai ḳhushkī se pata dariyā ke sāhil kā
nigāheñ to bahut kuchh kar chukīñ milne kī tadbīreñ
magar ab kaam baaqī rah gayā hai jazba-e-dil kā
har ik meñ kuchh na kuchh niklī burā.ī jab nazar Daalī
hasīnoñ meñ na haath aayā koī un ke muqābil kā
na thī aisī to haibat-nāk sūrat dād-kHvāhoñ kī
ye āḳhir kyuuñ zarā sā muñh nikal aayā hai qātil kā
ḳhudā hī jāntā hai dekhne vāloñ ne kyā dekhā
gayā jo un kī mahfil meñ huā vo un kī mahfil kā
subūt-e-be-gunāhī aur kyā darkār hai 'afsar'
butoñ meñ dāman chāhiye shamshīr-e-qātil kā
shikast-e-KHatir-e-'ashiq mein hai rang un ki mahfil ka
usi taswir par hai aaina TuTe hue dil ka
tumhein aansu to samjhun main ki manzil 'ishq ki aai
chala karata hai KHushki se pata dariya ke sahil ka
nigahen to bahut kuchh kar chukin milne ki tadbiren
magar ab kaam baqi rah gaya hai jazba-e-dil ka
har ek mein kuchh na kuchh nikli burai jab nazar Dali
hasinon mein na hath aaya koi un ke muqabil ka
na thi aisi to haibat-nak surat dad-kHwahon ki
ye aaKHir kyun zara sa munh nikal aaya hai qatil ka
KHuda hi jaanta hai dekhne walon ne kya dekha
gaya jo un ki mahfil mein hua wo un ki mahfil ka
subut-e-be-gunahi aur kya darkar hai 'afsar'
buton mein daman chahiye shamshir-e-qatil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.