agarche main sair-e-butan dekhta hun
agarche main sair-e-butan dekhta hun
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
agarche maiñ sair-e-butāñ dekhtā huuñ
vale jalva-e-haq ayaañ dekhtā huuñ
bane jis tarah haq-parastī huuñ kartā
magar ḳhud-parastī ziyāñ dekhtā huuñ
jo rabbul-haram hai sanam bhī vahī hai
haram dair maiñ ek saañ dekhtā huuñ
ise birhman aur use shaiḳh māneñ
ye aapas kā jhagḌā yahāñ dekhtā huuñ
azal se abad tak jo kasrat hai paidā
so vahdat kā darbār vaañ dekhtā huuñ
'niyāz' ab kahūñ kis se rāz-e-haqīqat
ye aalam sarāpā gumāñ dekhtā huuñ
agarche main sair-e-butan dekhta hun
wale jalwa-e-haq ayan dekhta hun
bane jis tarah haq-parasti hun karta
magar KHud-parasti ziyan dekhta hun
jo rabbul-haram hai sanam bhi wahi hai
haram dair main ek san dekhta hun
ise birhman aur use shaiKH manen
ye aapas ka jhagDa yahan dekhta hun
azal se abad tak jo kasrat hai paida
so wahdat ka darbar wan dekhta hun
'niyaz' ab kahun kis se raaz-e-haqiqat
ye aalam sarapa guman dekhta hun
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 145)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.