zikr kis ka ho raha hai mahfil-e-ahbab mein
zikr kis kā ho rahā hai mahfil-e-ahbāb meñ
hai harārat aur hī kuchh is dil-e-betāb meñ
jaam saaqī ā.īna hai mohtasib se ḳhauf kyā
dekhte haiñ rū-e-dilbar ham sharāb-e-nāb meñ
hasrat-e-dil dar-badar us ko phirā.e ai ’azīz
hazrat-e-yūsuf ko dekhe gar zuleḳhā ḳhvāb meñ
baiThnā ik do nafs mil kar ġhanīmat jāniye
tafriqa-andāz hai charḳh-e-kuhan ahbāb meñ
'sahv' parda ham se kyuuñ tum ġhair samjhe ho kise
dekhte ho kis ko bedārī meñ kis ko ḳhvāb meñ
zikr kis ka ho raha hai mahfil-e-ahbab mein
hai hararat aur hi kuchh is dil-e-betab mein
jam saqi aaina hai mohtasib se KHauf kya
dekhte hain ru-e-dilbar hum sharab-e-nab mein
hasrat-e-dil dar-badar us ko phirae ai ’aziz
hazrat-e-yusuf ko dekhe gar zuleKHa KHwab mein
baiThna ek do nafs mil kar ghanimat jaaniye
tafriqa-andaz hai charKH-e-kuhan ahbab mein
'sahw' parda hum se kyun tum ghair samjhe ho kise
dekhte ho kis ko bedari mein kis ko KHwab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.