ye ishq ki hai sarkar ahqar ghussa bhi yahan hai pyar bhi hai
ye ishq ki hai sarkar ahqar ghussa bhi yahan hai pyar bhi hai
Ahqar Bihari
MORE BYAhqar Bihari
ye ishq kī hai sarkār 'ahqar' ġhussa bhī yahāñ hai pyaar bhī hai
har zaḳhm-e-jigar ke phāhe meñ kāfūr bhī hai zañgār bhī hai
ai hazrat-e-dil nādāñ na bano rakho na qadam is kūcha meñ
ye us kī galī kā rasta hai pur-ḳhauf bhī hai pur-ḳhār bhī hai
kyā mai meñ milāyā hai tū ne kyā baat hai is meñ ai saaqī
jo riñd hai is maiḳhāne kā mad.hosh bhī hai hushiyār bhī hai
ye raaz kī bāteñ haiñ is ko samjhe to koī kyūñkar samjhe
insān hai putlā hairat kā majbūr bhī hai muḳhtār bhī hai
hairān hai tere maz.hab se sab gabrū musalmāñ ai 'ahqar'
ye us kī galī kā rasta hai pur-ḳhauf bhī hai pur-ḳhār bhī hai
Dartā hī rahe insāñ is se ummīd gar hai baḳhshish kī
haiñ naam isī ke ye donoñ ġhaffār bhī hai qahhār bhī hai
ye ishq ki hai sarkar 'ahqar' ghussa bhi yahan hai pyar bhi hai
har zaKHm-e-jigar ke phahe mein kafur bhi hai zangar bhi hai
ai hazrat-e-dil nadan na bano rakho na qadam is kucha mein
ye us ki gali ka rasta hai pur-KHauf bhi hai pur-KHar bhi hai
kya mai mein milaya hai tu ne kya baat hai is mein ai saqi
jo rind hai is maiKHane ka madhosh bhi hai hushiyar bhi hai
ye raaz ki baaten hain is ko samjhe to koi kyunkar samjhe
insan hai putla hairat ka majbur bhi hai muKHtar bhi hai
hairan hai tere mazhab se sab gabru musalman ai 'ahqar'
ye us ki gali ka rasta hai pur-KHauf bhi hai pur-KHar bhi hai
Darta hi rahe insan is se ummid gar hai baKHshish ki
hain nam isi ke ye donon ghaffar bhi hai qahhaar bhi hai
- Book : Bihar Men Urdu Ki Sufiyana Shairi (Pg. 181)
- Author : Mohammad Tayyab Abdali
- Publication : Israr Karimi Press, Allahabad (1988)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.