donon jaanib josh-e-ulfat ka asar hone laga

donon jaanib josh-e-ulfat ka asar hone laga
Ahsaan Shahjahanpuri
MORE BYAhsaan Shahjahanpuri
donoñ jānib josh-e-ulfat kā asar hone lagā
mujh ko ġhash aane lage vo be-ḳhabar hone lagā
jalva-gah meñ dekh leñ jī bhar ke aao bhī kahīñ
ab to āñkhoñ se taqāzā-e-nazar hone lagā
is tajāhul ne to ham ko aur bhī taḌpā diyā
pūchhtā hai yaar kyuuñ dard-e-jigar hone lagā
vaa.e bedardī miTāyā hī falak ne us ghaḌī
jab hamārī aah kā kuchh-kuchh asar hone lagā
kuchh to is pahlū se qātil par khulegā hāl-e-dil
kyā huā ḳhuuñ ārzuoñ kā agar hone lagā
dil se tum armān ban-ban kar nikal jaate ho aap
aur kahte ho ki naala be-asar hone lagā
rasm-e-ulfat se hameñ ehsān vo iizā milī
e'tibār-e-raushnī har dost par hone lagā
donon jaanib josh-e-ulfat ka asar hone laga
mujh ko ghash aane lage wo be-KHabar hone laga
jalwa-gah mein dekh len ji bhar ke aao bhi kahin
ab to aankhon se taqaza-e-nazar hone laga
is tajahul ne to hum ko aur bhi taDpa diya
puchhta hai yar kyun dard-e-jigar hone laga
wae bedardi miTaya hi falak ne us ghaDi
jab hamari aah ka kuchh-kuchh asar hone laga
kuchh to is pahlu se qatil par khulega haal-e-dil
kya hua KHun aarzuon ka agar hone laga
dil se tum arman ban-ban kar nikal jate ho aap
aur kahte ho ki nala be-asar hone laga
rasm-e-ulfat se hamein ehsan wo iza mili
e'tibar-e-raushni har dost par hone laga
- Book : Diwan-e-Ahsaan (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.