ai sitamgar bewafa ye bewafai kab talak
ai sitamgar bevafā ye bevafā.ī kab talak
āshiqoñ kī tere kūche meñ duhā.ī kab talak
be-diloñ se dilrubā yā par-jafā.ī kab talak
sīdhī bātoñ meñ bhī terī kaj-adā.ī kab talak
ham to tujh par ho rahe haiñ jaan aur dil se fidā
dūsroñ ko dekh kar ye dilrubā.ī kab talak
ai kamāñ-abrū na har-dam maar tū tīr-e-nigāh
zulf-e-ḳham ḳhanjar se terī ḳhush-numā.ī kab talak
ham tere bīmār haiñ aur tū hamārā hai hakīm
jald mil hove shifā dard-o-davā.ī kab talak
ashk-e-ḳhūnī ro rahā huuñ terī furqat meñ hamesh
duur se dikhlāoge dast-e-hinā.ī kab talak
kho diyā sab nām-o-nañg ai bā-hayā tere liye
ham kareñge is jahāñ meñ be-hayā.ī kab talak
'ārifā' ham dostī se karte haiñ ijz-o-niyāz
phir batā ai nāz-parvar ye laḌā.ī kab talak
ai sitamgar bewafa ye bewafai kab talak
aashiqon ki tere kuche mein duhai kab talak
be-dilon se dilruba ya par-jafai kab talak
sidhi baaton mein bhi teri kaj-adai kab talak
hum to tujh par ho rahe hain jaan aur dil se fida
dusron ko dekh kar ye dilrubai kab talak
ai kaman-abru na har-dam mar tu tir-e-nigah
zulf-e-KHam KHanjar se teri KHush-numai kab talak
hum tere bimar hain aur tu hamara hai hakim
jald mil howe shifa dard-o-dawai kab talak
ashk-e-KHuni ro raha hun teri furqat mein hamesh
dur se dikhlaoge dast-e-hinai kab talak
kho diya sab nam-o-nang ai ba-haya tere liye
hum karenge is jahan mein be-hayai kab talak
'arifa' hum dosti se karte hain ijz-o-niyaz
phir bata ai naz-parwar ye laDai kab talak
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 57)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.