jala be-jurm hun aa kar bata de majra yara

jala be-jurm hun aa kar bata de majra yara
Akif Hussain Shahwali
MORE BYAkif Hussain Shahwali
jalā be-jurm huuñ aa kar batā de mājrā yaarā
miTā huuñ be-gunah zālim sazā bhī to batā yaarā
huuñ maiñ zinda magar mujh meñ nahīñ koī baqā yaarā
agar dekhā nahīñ aisā to ā-kar dekhnā yaarā
nā dekhā jis ne yūsuf ko vo dekhe ashk-e-yā’qūbī
mohabbat kī haqīqat kā use de ab patā yaarā
tujhe hairat hai kyuuñ mere bigaḌte haal par hamdam
zarā kuchh der to chehra dikhā phir aazmā yaarā
zamāna mere marqad par hañse parvā nahīñ mujh ko
tirī dahlīz par honā hai madfan rahnumā yaarā
jo maiñ bekas huā tanhā huā sab chhoḌkar guzre
tirī chaukhaT ke saa.e meñ mile rāhat zarā yaarā
rahī duniyā meñ rusvā.ī to koī ġham nahīñ lekin
tirī mastī meñ rusvā kar dikhā de intihā yaarā
mirī āñkhoñ meñ ashkoñ kā samundar maujzan kyuuñ hai
mirī qismat meñ hai kyā kuchh kabhī to paḌh zarā yaarā
maiñ jis mahfil meñ pahuñchā huuñ vahāñ kuchh bhī nahīñ baaqī
yahāñ sab kuchh tirī mastī meñ khoyā jā rahā yaarā
ye duniyā hai sarāb-e-dard is meñ kuchh haqīqat kyā
mujhe to ek pal de de mujhe bhī aazmā yaarā
bahak kar be-ḳhudī meñ bol uThā darbār meñ ‘naushā’
ye kyā 'ālam hai kaisā rañg hai kyā mājrā yaarā
jala be-jurm hun aa kar bata de majra yara
miTa hun be-gunah zalim saza bhi to bata yara
hun main zinda magar mujh mein nahin koi baqa yara
agar dekha nahin aisa to aa-kar dekhna yara
na dekha jis ne yusuf ko wo dekhe ashk-e-ya’qubi
mohabbat ki haqiqat ka use de ab pata yara
tujhe hairat hai kyun mere bigaDte haal par hamdam
zara kuchh der to chehra dikha phir aazma yara
zamana mere marqad par hanse parwa nahin mujh ko
teri dahliz par hona hai madfan rahnuma yara
jo main bekas hua tanha hua sab chhoDkar guzre
teri chaukhaT ke sae mein mile rahat zara yara
rahi duniya mein ruswai to koi gham nahin lekin
teri masti mein ruswa kar dikha de intiha yara
meri aankhon mein ashkon ka samundar maujzan kyun hai
meri qismat mein hai kya kuchh kabhi to paDh zara yara
main jis mahfil mein pahuncha hun wahan kuchh bhi nahin baqi
yahan sab kuchh teri masti mein khoya ja raha yara
ye duniya hai sarab-e-dard is mein kuchh haqiqat kya
mujhe to ek pal de de mujhe bhi aazma yara
bahak kar be-KHudi mein bol uTha darbar mein ‘nausha’
ye kya 'alam hai kaisa rang hai kya majra yara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.