ek barq-e-tajalli ne meri tamir ke TukDe kar Dale
ik barq-e-tajallī ne merī ta.amīr ke TukḌe kar Daale
tadbīr ke TukḌe kar Daale taqdīr ke TukḌe kar Daale
paayā na thā jab tak us but ko maiñ apnī parastish karatā thā
haath aaga.ī jab aslī sūrat tasvīr ke TukḌe kar Daale
bhūlā huā jab tak thā chup thā jab aaga.ī us ko yād-e-vatan
ik chashm-e-zadan meñ qaidī ne zanjīr ke TukḌe kar Daale
shah-rag ke qarīb vo rahtā thā kis tarah galā kaT saktā thā
nāzuk-sī rag-e-gardan ne merī shamshīr ke TukḌe kar Daale
afsāna-e-ġham kahne ke liye soche to bahut kuchh the 'amjad'
ik tez nazar ne zālim kī taqdīr ke TukḌe kar Daale
ek barq-e-tajalli ne meri tamir ke TukDe kar Dale
tadbir ke TukDe kar Dale taqdir ke TukDe kar Dale
paya na tha jab tak us but ko main apni parastish karata tha
hath aagai jab asli surat taswir ke TukDe kar Dale
bhula hua jab tak tha chup tha jab aagai us ko yaad-e-watan
ek chashm-e-zadan mein qaidi ne zanjir ke TukDe kar Dale
shah-rag ke qarib wo rahta tha kis tarah gala kaT sakta tha
nazuk-si rag-e-gardan ne meri shamshir ke TukDe kar Dale
afsana-e-gham kahne ke liye soche to bahut kuchh the 'amjad'
ek tez nazar ne zalim ki taqdir ke TukDe kar Dale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.