har bhiD mein aur sare idaron mein aadmi
har bhiiḌ meñ aur saare idāroñ meñ aadmī
yuuñ hai had-e-nigāh nazāroñ meñ aadmī
dil ke tamām dard haiñ dil meñ chhupe hue
muskān jhūTī laayā qatāroñ meñ aadmī
ḳhanjar hai āstīñ meñ to bāteñ lagāv kī
rakhtā hai apnoñ ko bhī ḳhasāroñ meñ aadmī
jiitā hai har ghaḌī vo ’urūj-o-zavāl meñ
phūloñ ke sañg hai kabhī ḳhāroñ meñ aadmī
muddat huī hai chāñd pe pahuñche the ham kabhī
ab to dikhā.ī deñge sitāroñ meñ aadmī
kisko maiñ apnā samjhūñ parāyā kise kahūñ
'iz.hār' sāmne to hai hazāroñ meñ aadmī
har bhiD mein aur sare idaron mein aadmi
yun hai had-e-nigah nazaron mein aadmi
dil ke tamam dard hain dil mein chhupe hue
muskan jhuTi laya qataron mein aadmi
KHanjar hai aastin mein to baaten lagaw ki
rakhta hai apnon ko bhi KHasaron mein aadmi
jita hai har ghaDi wo ’uruj-o-zawal mein
phulon ke sang hai kabhi KHaron mein aadmi
muddat hui hai chand pe pahunche the hum kabhi
ab to dikhai denge sitaron mein aadmi
kisko main apna samjhun paraya kise kahun
'izhaar' samne to hai hazaron mein aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.