jaan-o-dil sab watan par luTa kar gae
jān-o-dil sab vatan par luTā kar ga.e
qarz miTTī kā vo yuuñ chukā kar ga.e
jazba-e-ishq yuuñ thā vatan ke liye
ḳhaak meñ ḳhuun apnā milā kar ga.e
toḌ diiñ saarī zanjīr sab beḌiyāñ
ham-ko āzād bhārat dilā kar ga.e
'bos' 'āzād' 'bāpū' yā 'bismil' sabhī
dil meñ ahl-e-vatan ke samā kar ga.e
sūliyoñ par chaḌhe dushmanoñ kā magar
saarā nām-o-nishāñ vo miTā kar ga.e
chal diye bāñdh kar vo kafan shaan se
haath meñ apne parcham uThā kar ga.e
yaad rakhnā hai unko sadā jo sabaq
ham ko hubbulvatan kā paḌhā kar ga.e
hū kā aalam thā jab unkī arthī uThī
jāte-jāte ye sabko rulā kar ga.e
unkī azmat pe 'iz.hār' ko naaz hai
azmat-e-hind ko jo baḌhā kar ga.e
jaan-o-dil sab watan par luTa kar gae
qarz miTTi ka wo yun chuka kar gae
jazba-e-ishq yun tha watan ke liye
KHak mein KHun apna mila kar gae
toD din sari zanjir sab beDiyan
ham-ko aazad bhaarat dila kar gae
'bos' 'azad' 'bapu' ya 'bismil' sabhi
dil mein ahl-e-watan ke sama kar gae
suliyon par chaDhe dushmanoñ ka magar
sara nam-o-nishan wo miTa kar gae
chal diye bandh kar wo kafan shan se
hath mein apne parcham uTha kar gae
yaad rakhna hai unko sada jo sabaq
hum ko hubbulwatan ka paDha kar gae
hu ka aalam tha jab unki arthi uThi
jate-jate ye sabko rula kar gae
unki azmat pe 'izhaar' ko naz hai
azmat-e-hind ko jo baDha kar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.