hum tere ishq mein apne ko fana karte hain
ham tire 'ishq meñ apne ko fanā karte haiñ
zindagī hī meñ ġharaz fikr-e-baqā karte haiñ
ab to marne kī shab-o-roz du'ā karte haiñ
tere bīmār yahī apnī davā karte haiñ
haath uThā kar vo mujhe kos rahā thā lekin
dekh kar mujh ko ye bolā ki du'ā karte haiñ
ik zarā dekhiye mere dil-e-bīmār kī nabz
sunte haiñ aap masīhā haiñ davā karte haiñ
un par kyā tābish-e-ḳhurshīd qayāmat kā asar
jo tire sāyā-e-rahmat meñ rahā karte haiñ
baa'd muddat ke vo āmāda pa۔e-qatl hue
aaj ham sajda-e-shukrāna adā karte haiñ
rahte haiñ shab ko ham āġhosh ye jalve se tire
baaġh meñ gul jo dam-e-sub.h hañsā karte haiñ
apnī zulfoñ ke vo phandoñ ko dikhā kar bole
murġh is daam meñ be-dāna phañsā karte haiñ
ham-zabāñ apne rihā ho chuke suunā hai qafas
dekheñ kab qaid se vo ham ko rihā karte haiñ
kyā mubārak ye mirī naza.a kā 'ālam hai nadīm
vo bhī sar piiT ke ro-ro ke du'ā karte haiñ
koī īmān na laa.e to kareñ kyā ai 'arsh'
she'r ham rañg meñ 'momin' ke kahā karte haiñ
hum tere 'ishq mein apne ko fana karte hain
zindagi hi mein gharaz fikr-e-baqa karte hain
ab to marne ki shab-o-roz du'a karte hain
tere bimar yahi apni dawa karte hain
hath uTha kar wo mujhe kos raha tha lekin
dekh kar mujh ko ye bola ki du'a karte hain
ek zara dekhiye mere dil-e-bimar ki nabz
sunte hain aap masiha hain dawa karte hain
un par kya tabish-e-KHurshid qayamat ka asar
jo tere saya-e-rahmat mein raha karte hain
ba'd muddat ke wo aamada pa۔e-qatl hue
aaj hum sajda-e-shukrana ada karte hain
rahte hain shab ko hum aaghosh ye jalwe se tere
bagh mein gul jo dam-e-subh hansa karte hain
apni zulfon ke wo phandon ko dikha kar bole
murgh is dam mein be-dana phansa karte hain
ham-zaban apne riha ho chuke suna hai qafas
dekhen kab qaid se wo hum ko riha karte hain
kya mubarak ye meri naza ka 'alam hai nadim
wo bhi sar piT ke ro-ro ke du'a karte hain
koi iman na lae to karen kya ai 'arsh'
she'r hum rang mein 'momin' ke kaha karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.