aur marne ka hamein kuchh gham nahin
aur marne kā hameñ kuchh ġham nahīñ
zulm kis par Dhā.egā jab ham nahīñ
vaqt par apnā asar dikhlā.egā
be-asar ye nāla-e-paiham nahīñ
so rahe haiñ chain se ahl-e-'adam
fitna-e-'ālam kā un ko ġham nahīñ
mar rahā huuñ ab mire ghar aa chuke
kis ko dam dete ho ab to dam nahīñ
ḳhanda-zan haiñ misl-e-gul taklīf meñ
zaḳhm-e-dil ko hājat-e-marham nahīñ
kis sahāre par ji.eñ bedam tire
jab tirī teġh-e-sitam meñ dam nahīñ
be-sabātī ro rahī hai dekh kar
barg-e-gul par qatra-e-shabnam nahīñ
kam nahīñ uljhan dil-e-ġhamnāk meñ
kab ḳhayāl kā kal braham nahīñ
koste haiñ vo du'ā kī aaḌ meñ
ye vo pahlū hai ki jis meñ zam nahīñ
'arsh' dillī se jo hai nisbat tujhe
tū kabhī ahl-e-zabāñ se kam nahīñ
aur marne ka hamein kuchh gham nahin
zulm kis par Dhaega jab hum nahin
waqt par apna asar dikhlaega
be-asar ye nala-e-paiham nahin
so rahe hain chain se ahl-e-'adam
fitna-e-'alam ka un ko gham nahin
mar raha hun ab mere ghar aa chuke
kis ko dam dete ho ab to dam nahin
KHanda-zan hain misl-e-gul taklif mein
zaKHm-e-dil ko hajat-e-marham nahin
kis sahaare par jien bedam tere
jab teri tegh-e-sitam mein dam nahin
be-sabaati ro rahi hai dekh kar
barg-e-gul par qatra-e-shabnam nahin
kam nahin uljhan dil-e-ghamnak mein
kab KHayal ka kal braham nahin
koste hain wo du'a ki aaD mein
ye wo pahlu hai ki jis mein zam nahin
'arsh' dilli se jo hai nisbat tujhe
tu kabhi ahl-e-zaban se kam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.