āñkheñ be-kār haiñ jab dekheñ na sūrat terī
dil vo kyā dil hai na ho jis meñ mohabbat terī
jald ai ruuh safar paikar-e-ḳhākī se na kar
chand roza hī mulāqāt ġhanīmat terī
is liye hai par-e-tā.ūs kī qur.āñ meñ jagah
ki dikhātā hai ye nairañgī-e-qudrat terī
sho’la-e-nār-e-saqar se jo Dare ahl-e-gunāh
abr ban-ban ke barasne lagī rahmat terī
paañv kāñToñ kī sinānoñ pe haiñ dīvānoñ ke
raah kyā saḳht hai ai vādī-e-vahshat terī
sair-e-bāzār ko to roz nikaltā hai 'asīr'
aa ga.ī kyā kisī yūsuf pe tabī'at terī
aankhen be-kar hain jab dekhen na surat teri
dil wo kya dil hai na ho jis mein mohabbat teri
jald ai ruh safar paikar-e-KHaki se na kar
chand roza hi mulaqat ghanimat teri
is liye hai par-e-taus ki quran mein jagah
ki dikhata hai ye nairangi-e-qudrat teri
sho’la-e-nar-e-saqar se jo Dare ahl-e-gunah
abr ban-ban ke barasne lagi rahmat teri
panw kanTon ki sinanon pe hain diwanon ke
rah kya saKHt hai ai wadi-e-wahshat teri
sair-e-bazar ko to roz nikalta hai 'asir'
aa gai kya kisi yusuf pe tabi'at teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.