tā'at meñ dhyān hai kisī qad-e-darāz kā
ā'zam yahī hai rukn hamārī namāz kā
kushta huuñ bas ki yaar ke qad-e-darāz kā
saaya mire mazār pe hai sarv-e-nāz kā
masjid ko mai-kade se na zāhid bulā mujhe
tā’jīl kyā hai vaqt to aa.e namāz kā
furqat meñ yuuñ marūñ ki na ho maut ko ḳhabar
aisā ḳhayāl hai mujhe iḳhfā-e-rāz kā
yāroñ se kah do ghar ko chale jaa.eñ bā’d-e-dafn
ho taḳhliya ki vaqt hai rāz-o-niyāz kā
manzūr ho misāl to tuubā se duuñ misāl
mazmūñ buland chāhiye qad-e-darāz kā
mahshar meñ kis nishāñ se ilāhī hoñ dād-ḳhvāh
kushta huuñ tīr-e-ġhamza-o-shamshīr-e-nāz kā
shāh-o-gadā meñ mahfil-e-sher-o-suḳhan meñ ek
is mai-kade meñ daḳhl nahīñ imtiyāz kā
māl-o-matā'-e-dahr kī parvā nahīñ mujhe
huuñ be-niyāz shukr hai us be-niyāz kā
ta'at mein dhyan hai kisi qad-e-daraaz ka
aa'zam yahi hai rukn hamari namaz ka
kushta hun bas ki yar ke qad-e-daraaz ka
saya mere mazar pe hai sarw-e-naz ka
masjid ko mai-kade se na zahid bula mujhe
ta’jil kya hai waqt to aae namaz ka
furqat mein yun marun ki na ho maut ko KHabar
aisa KHayal hai mujhe iKHfa-e-raaz ka
yaron se kah do ghar ko chale jaen ba’d-e-dafn
ho taKHliya ki waqt hai raaz-o-niyaz ka
manzur ho misal to tuba se dun misal
mazmun buland chahiye qad-e-daraaz ka
mahshar mein kis nishan se ilahi hon dad-KHwah
kushta hun tir-e-ghamza-o-shamshir-e-naz ka
shah-o-gada mein mahfil-e-sher-o-suKHan mein ek
is mai-kade mein daKHl nahin imtiyaz ka
mal-o-mata'-e-dahr ki parwa nahin mujhe
hun be-niyaz shukr hai us be-niyaz ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.