bū-e-ḳhush detā hai mahfil meñ pasīnā yaar kā
'itr khīñchā kHuub garmī ne gul-e-ruḳhsār kā
ġhair kyuuñ karatā hai vasf is abrū-e-ḳhamdār kā
bāñdhnā nā-mard ko zebā nahīñ talvār kā
barg-e-nakHl-e-tūr hilte haiñ to aatī hai sadā
aañkh kar paidā agar ho hausla dīdār kā
mard-e-'ālī-qadr se duniyā karegī kyā ḳhalish
pā-e-rākib ko nahīñ raste meñ khaTkā ḳhaar kā
aañkh kā halqa bajā-e-tauq gardan chāhiye
huuñ maiñ dīvāna kisī kī nargis-e-bīmār kā
sahn-e-mahshar se hameñ karte haiñ bāhar kyuuñ malak
ham bhī aa.e haiñ tamāshā dekhne bāzār kā
haiñ tamāshā.ī jo gulzār-e-mohabbat ke 'asīr'
phal sar-e-mansūr ko kahte haiñ naḳhl-e-dār kā
bu-e-KHush deta hai mahfil mein pasina yar ka
'itr khincha kHub garmi ne gul-e-ruKHsar ka
ghair kyun karata hai wasf is abru-e-KHamdar ka
bandhna na-mard ko zeba nahin talwar ka
barg-e-nakHl-e-tur hilte hain to aati hai sada
aankh kar paida agar ho hausla didar ka
mard-e-'ali-qadr se duniya karegi kya KHalish
pa-e-rakib ko nahin raste mein khaTka KHar ka
aankh ka halqa baja-e-tauq gardan chahiye
hun main diwana kisi ki nargis-e-bimar ka
sahn-e-mahshar se hamein karte hain bahar kyun malak
hum bhi aae hain tamasha dekhne bazar ka
hain tamashai jo gulzar-e-mohabbat ke 'asir'
phal sar-e-mansur ko kahte hain naKHl-e-dar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.