kamāl-e-nesthī se dil agar āgāh ho jaatā
zabāñ se hū nikaltā tan fanā-fillāh ho jaatā
tirī tarz-e-tabī'at se jo kuchh āgāh ho jaatā
musāhib chaar din meñ banda-e-dargāh ho jaatā
baḌī daulat hai jis kā naam hai 'ālam meñ istiġhnā
gadā us kūche meñ aatā to shāhanshāh ho jaatā
ziyā-e-dil se kuchh zor-e-ma.āsī chal nahīñ saktā
muqarrar raat baḌh jaatī jo din kotāh ho jaatā
jabīñ-sā ham jo hote dar par us kHurshīd-e-tal'at ke
yaqīñ hai daaġh sajde kā chamak kar maah ho jaatā
karāmat shaiḳh meñ dekhī na qudrat koī rāhib meñ
kisī kā mo'taqid kyuuñ banda-e-dargāh ho jaatā
irāda but-kade se maiñ kabhī karatā jo kā'be kā
qadam par but har ik gir-gir ke sañg-e-rāh ho jaatā
vo pyāsā huuñ tavaqqo.a hai mujhe kab pyaas bujhne kī
qarīb-e-chāh maiñ jaatā to andhā chaah ho jaatā
dhaḌaktā hai kaleja zikr-e-mahshar sun ke vā'iz se
jo kal ke din hai honā aaj yā allāh ho jaatā
chhurī kī tarh chaltī hai zabāñ us tifl kī aise
sabaq paḌhtā to bismil murġh-e-bismillāh ho jaatā
agar daulat kī sūrat vasl kī daulat bhī mil jaatī
abhī to kārḳhāna apnā 'ālī-jāh ho jaatā
kamal-e-nesthi se dil agar aagah ho jata
zaban se hu nikalta tan fana-fillah ho jata
teri tarz-e-tabi'at se jo kuchh aagah ho jata
musahib chaar din mein banda-e-dargah ho jata
baDi daulat hai jis ka nam hai 'alam mein istighna
gada us kuche mein aata to shahanshah ho jata
ziya-e-dil se kuchh zor-e-maasi chal nahin sakta
muqarrar raat baDh jati jo din kotah ho jata
jabin-sa hum jo hote dar par us kHurshid-e-tal'at ke
yaqin hai dagh sajde ka chamak kar mah ho jata
karamat shaiKH mein dekhi na qudrat koi rahib mein
kisi ka mo'taqid kyun banda-e-dargah ho jata
irada but-kade se main kabhi karata jo ka'be ka
qadam par but har ek gir-gir ke sang-e-rah ho jata
wo pyasa hun tawaqqoa hai mujhe kab pyas bujhne ki
qarib-e-chah main jata to andha chah ho jata
dhaDakta hai kaleja zikr-e-mahshar sun ke wa'iz se
jo kal ke din hai hona aaj ya allah ho jata
chhuri ki tarh chalti hai zaban us tifl ki aise
sabaq paDhta to bismil murgh-e-bismillah ho jata
agar daulat ki surat wasl ki daulat bhi mil jati
abhi to karKHana apna 'ali-jah ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.