matlab-e-dil be-talab ho jā.egā
jab ḳhudā chāhegā sab ho jā.egā
sabr kar ai dil sitam us ke uThā
uff agar nikle ġhazab ho jā.egā
mil rahegā rizq-e-taqdīrī hameñ
kuchh bahāna kuchh sabab ho jā.egā
tum pukāroge mujhe jis naam se
bas vahī merā laqab ho jā.egā
be-adab kahiye na mujh ko bār-bār
mujh se bhī tark-e-adab ho jā.egā
jā.eñge ham rind yuuñ firdaus meñ
ahl-e-taqvā ko 'ajab ho jā.egā
tum chhupāoge agar zulfoñ meñ ruḳh
dil siyah mānind-e-shab ho jā.egā
paḌ ga.ī jis din nigāh-e-ahl-e-fahm
saarā dīvān muntaḳhab ho jā.egā
ḳhud bulā.eñge vo mujh ko baam par
tuur par muusā talab ho jā.egā
naza.a ke dam murtazā aa.e 'asīr'
ḳhātima-bil-ḳhair ab ho jā.egā
matlab-e-dil be-talab ho jaega
jab KHuda chahega sab ho jaega
sabr kar ai dil sitam us ke uTha
uff agar nikle ghazab ho jaega
mil rahega rizq-e-taqdiri hamein
kuchh bahana kuchh sabab ho jaega
tum pukaroge mujhe jis nam se
bas wahi mera laqab ho jaega
be-adab kahiye na mujh ko bar-bar
mujh se bhi tark-e-adab ho jaega
jaenge hum rind yun firdaus mein
ahl-e-taqwa ko 'ajab ho jaega
tum chhupaoge agar zulfon mein ruKH
dil siyah manind-e-shab ho jaega
paD gai jis din nigah-e-ahl-e-fahm
sara diwan muntaKHab ho jaega
KHud bulaenge wo mujh ko baam par
tur par musa talab ho jaega
naza ke dam murtaza aae 'asir'
KHatima-bil-KHair ab ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.