tum rañg ho suḳhan meñ tum phuul ho chaman meñ
tum ruuh ho badan meñ tum sham-e-anjuman meñ
raunaq jo thī guloñ kī sab ho ga.ī vo miTTī
un kī nazar jo badlī ḳhaak uḌ ga.ī chaman meñ
bāham ye tazkira hai jallād-e-charḳh kyā hai
lohā baras rahā hai bāñkoñ kī anjuman meñ
hubb-e-yār se milā maiñ ġhamgīñ thā ḳhush huā maiñ
murda thā jī uThā maiñ jaan aa ga.ī badan meñ
tum sair ko jo aate ik-tarfa gul khilāte
phūle na phir samāte gul apne pairahan meñ
ḳhāmosh 'asīr' har dam rahtā huuñ misl-e-ḳhātim
huuñ nām-dār-e-'ālam par mohr hai dahan meñ
tum rang ho suKHan mein tum phul ho chaman mein
tum ruh ho badan mein tum sham-e-anjuman mein
raunaq jo thi gulon ki sab ho gai wo miTTi
un ki nazar jo badli KHak uD gai chaman mein
baham ye tazkira hai jallad-e-charKH kya hai
loha baras raha hai bankon ki anjuman mein
hubb-e-yar se mila main ghamgin tha KHush hua main
murda tha ji uTha main jaan aa gai badan mein
tum sair ko jo aate ik-tarfa gul khilate
phule na phir samate gul apne pairahan mein
KHamosh 'asir' har dam rahta hun misl-e-KHatim
hun nam-dar-e-'alam par mohr hai dahan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.