daulat-e-duniyā kī kyā parvā mujhe
haq ne baḳhshā ganj-e-istiġhnā mujhe
tum karo mujh par jafā.eñ maiñ vafā
vo tumheñ zebā hai ye zebā mujhe
bak rahā hai tū maiñ baiThā huuñ ḳhamosh
tujh ko ai nāseh hai yā saudā mujhe
takHt-o-tāj-o-māl-o-daulat kyā karūñ
yā ilāhī sabr de thoḌā mujhe
kab shab-e-ġham meñ hai ummīd-e-sahar
kyā ho ai nāseh ġham-e-fardā mujhe
aqrabā haiñ saath turbat meñ na dost
chal diye sab chhoḌ kar tanhā mujhe
māh-ruḳhsāroñ kā 'āshiq jaan kar
daaġh detā hai falak kyā kyā mujhe
gar paḌā chāh-e-zanaḳhdāñ meñ 'asīr'
shauq ne aisā kiyā andhā mujhe
daulat-e-duniya ki kya parwa mujhe
haq ne baKHsha ganj-e-istighna mujhe
tum karo mujh par jafaen main wafa
wo tumhein zeba hai ye zeba mujhe
bak raha hai tu main baiTha hun KHamosh
tujh ko ai naseh hai ya sauda mujhe
takHt-o-taj-o-mal-o-daulat kya karun
ya ilahi sabr de thoDa mujhe
kab shab-e-gham mein hai ummid-e-sahar
kya ho ai naseh gham-e-farda mujhe
aqraba hain sath turbat mein na dost
chal diye sab chhoD kar tanha mujhe
mah-ruKHsaron ka 'ashiq jaan kar
dagh deta hai falak kya kya mujhe
gar paDa chah-e-zanaKHdan mein 'asir'
shauq ne aisa kiya andha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.