wo hum na the jo kisi ma’rka se Tal jate
vo ham na the jo kisī mā’rka se Tal jaate
ishāra teġh kā hotā to sar ke bal jaate
tire marīz jo vahshat kī chaal chal jaate
ḳhamīr-e-ḳhāk se mānind-e-mū nikal jaate
zaqan se ho ke rihā gesūoñ meñ dil phañstā
uchhāltā jo kuaañ azhdahe nigal jaate
hamesha ham se kajī par rahe tire abrū
ye nīmche vo na the jinke bal nikal jaate
kabhī to tum ko chhiḌaknī thī zulf par afshāñ
añdherī raat thī us meñ charāġh jal jaate
hazār tez ravī karte qāfile vaale
ham aage sūrat-e-bāñg-e-jaras nikal jaate
vo 'āshiq-e-mizha huuñ rashk se huā maiñ halāk
fusūñ-garoñ ko jo dekhā chehra nigal jaate
phañse haiñ chāh-e-zanaḳhdāñ meñ ab to vā'iz bhī
jo ham gire to gire the vahī sambhal jaate
hamārī tauba bhī tauba bhī koī ai saaqī
zarā jo dekhte badlī abhī badal jaate
dikhātā itnī to tāsīr girya-e-yā'qūb
dayār-e-misr meñ andhe kueñ ubal jaate
charāġh ḳhuub huā mere qabr par na jalā
idhar udhar ke patañge ġharīb jal jaate
bahār-e-lāla-o-gul zulf-e-sabza-o-sumbul
maza thā ham jo gulistān meñ āj-kal jaate
zamāna bhī kisī mā'shūq kā mizāj hai kyā
zarā bhī der nahīñ hai use badal jaate
junūn jo gosha-e-’uzlat meñ ye karam karatā
abhī to naam ke mānind ham nikal jaate
falak ne khāne ko itnā ġham diyā hotā
ki chaar roz merī zindagī chal jaate
'asīr' aañkh dikhātā agar hameñ sayyād
qasam tū kyā qafas-e-jism se nikal jaate
wo hum na the jo kisi ma’rka se Tal jate
ishaara tegh ka hota to sar ke bal jate
tere mariz jo wahshat ki chaal chal jate
KHamir-e-KHak se manind-e-mu nikal jate
zaqan se ho ke riha gesuon mein dil phansta
uchhaalta jo kuan azhdahe nigal jate
hamesha hum se kaji par rahe tere abru
ye nimche wo na the jinke bal nikal jate
kabhi to tum ko chhiDakni thi zulf par afshan
andheri raat thi us mein charagh jal jate
hazar tez rawi karte qafile wale
hum aage surat-e-bang-e-jaras nikal jate
wo 'ashiq-e-mizha hun rashk se hua main halak
fusun-garon ko jo dekha chehra nigal jate
phanse hain chah-e-zanaKHdan mein ab to wa'iz bhi
jo hum gire to gire the wahi sambhal jate
hamari tauba bhi tauba bhi koi ai saqi
zara jo dekhte badli abhi badal jate
dikhata itni to tasir girya-e-ya'qub
dayar-e-misr mein andhe kuen ubal jate
charagh KHub hua mere qabr par na jala
idhar udhar ke patange gharib jal jate
bahaar-e-lala-o-gul zulf-e-sabza-o-sumbul
maza tha hum jo gulistan mein aaj-kal jate
zamana bhi kisi ma'shuq ka mizaj hai kya
zara bhi der nahin hai use badal jate
junun jo gosha-e-’uzlat mein ye karam karata
abhi to nam ke manind hum nikal jate
falak ne khane ko itna gham diya hota
ki chaar roz meri zindagi chal jate
'asir' aankh dikhata agar hamein sayyaad
qasam tu kya qafas-e-jism se nikal jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.