kya apni haqiqat kahun main kaun hun kya hun
kyā apnī haqīqat kahūñ maiñ kaun huuñ kyā huuñ
zāhir meñ to banda huuñ maiñ bātin meñ ḳhudā huuñ
vo jān-e-jahāñ mujh meñ hai maiñ jalva huuñ us kā
ye shaan hai ḳhud qibla-o-kHud qibla-numā huuñ
maiñ kuchh nahīñ sab kuchh huuñ na qādir huuñ na 'ājiz
hākim bhī huuñ mahkūm bhī aur sab se judā huuñ
ki husn-e-butāñ hoñge be-sabre 'āshiq
gah jāniye be-dād huuñ gah ahl-e-vafā huuñ
zebā hai na tashbīh na tanzīh mujh hī ko
āzād huuñ aur qaid-e-ta’ayyun se rihā huuñ
ne faqr kā dā'va hai na huuñ lā.iq-e-shāhī
lekin maiñ dar-e-hazrat-e-vāris kā gadā huuñ
haiñ mā'nī fī anfusikum jis pe huvaidā
'aughaT' vo samajhtā hai ki maiñ kaun huuñ kyā huuñ
kya apni haqiqat kahun main kaun hun kya hun
zahir mein to banda hun main baatin mein KHuda hun
wo jaan-e-jahan mujh mein hai main jalwa hun us ka
ye shan hai KHud qibla-o-kHud qibla-numa hun
main kuchh nahin sab kuchh hun na qadir hun na 'ajiz
hakim bhi hun mahkum bhi aur sab se juda hun
ki husn-e-butan honge be-sabre 'ashiq
gah jaaniye be-dad hun gah ahl-e-wafa hun
zeba hai na tashbih na tanzih mujh hi ko
aazad hun aur qaid-e-ta’ayyun se riha hun
ne faqr ka da'wa hai na hun laiq-e-shahi
lekin main dar-e-hazrat-e-waris ka gada hun
hain ma'ni fi anfusikum jis pe huwaida
'aughaT' wo samajhta hai ki main kaun hun kya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.