teri surat ki masum-o-hasin malum hoti hai
tirī sūrat ki ma.asūm-o-hasīñ ma.alūm hotī hai
mujhe gārat-gar-e-imman-o-dīñ ma.alūm hotī hai
mohabbat phūltī phaltī nahii. ma.alūm hotī hai
ye jalva-gāh-e-dil banjar zamīñ ma.alūm hotī hai
tasavvur jab tumhāre gesu-e-pur-ḳham kā aatā hai
mohabbat ek mār-e-āstīñ ma.alūm hotī hai
tumhārī be-vafā.ī ho ga.ī hai naqsh-e-dil jab se
tumhārī haañ bhī ai zālim nahii. ma.alūm hotī hai
mohabbat hai fareb-e-husn hī kā naam duniyā meñ
tumhārī baat nāseh dil-nashīñ ma.alūm hotī hai
uḌā kar le ga.ī hai haaye jo sabr-o-sukūñ mere
tumhārī hī nigāh-e-vāpsīñ ma.alūm hotī hai
hamāre ḳhāna-e-dil se kabhī bāhar nahīñ jaatī
tumhārī yaad bhī parda-nashīñ ma.alūm hotī hai
tumhārā hī tasavvur hai bahal jaatā hai jī jis se
vagarna zindagī andohgīñ ma.alūm hotī hai
tumhāre husn-e-rañgīñ meñ kashish hī aur hai varna
mujhe har chiiz duniyā kī hasīñ ma.alūm hotī hai
mohabbat jis kī Dīñgeñ mārte ho ai jahāñ vaalo
zarā dil DhūñD kar dekho kahīñ ma.alūm hotī hai
mileñge kyā 'asar' dair-o-haram mujh mast-o-be-kHud ko
mujhe to raah ghar kī bhī nahii. ma.alūm hotī hai
teri surat ki masum-o-hasin malum hoti hai
mujhe garat-gar-e-imman-o-din malum hoti hai
mohabbat phulti phalti nahi malum hoti hai
ye jalwa-gah-e-dil banjar zamin malum hoti hai
tasawwur jab tumhaare gesu-e-pur-KHam ka aata hai
mohabbat ek mar-e-astin malum hoti hai
tumhaari be-wafai ho gai hai naqsh-e-dil jab se
tumhaari han bhi ai zalim nahi malum hoti hai
mohabbat hai fareb-e-husn hi ka nam duniya mein
tumhaari baat naseh dil-nashin malum hoti hai
uDa kar le gai hai haye jo sabr-o-sukun mere
tumhaari hi nigah-e-wapsin malum hoti hai
hamare KHana-e-dil se kabhi bahar nahin jati
tumhaari yaad bhi parda-nashin malum hoti hai
tumhaara hi tasawwur hai bahal jata hai ji jis se
wagarna zindagi andohgin malum hoti hai
tumhaare husn-e-rangin mein kashish hi aur hai warna
mujhe har chiz duniya ki hasin malum hoti hai
mohabbat jis ki Dingen marte ho ai jahan walo
zara dil DhunD kar dekho kahin malum hoti hai
milenge kya 'asar' dair-o-haram mujh mast-o-be-kHud ko
mujhe to rah ghar ki bhi nahi malum hoti hai
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 156)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.