sehat ne tumko KHub ubhaara hai aaj-kal
sehat ne tum ko ḳhuub ubhārā hai āj-kal
vallāh kyā shabāb tumhārā hai āj-kal
terā sitam vafā se bhī pyārā hai āj-kal
de zahr bhī mujhe to gavāra hai āj-kal
duniyā kī rāhatoñ se kinārā hai āj-kal
maiñ huuñ aur ik ḳhayāl tumhārā hai āj-kal
dil meñ basī huī hai koī sūrat hasīñ
shīshe meñ ik parī ko utārā hai āj-kal
dil jis meñ merī ārzuoñ kī thī būd-o-bāsh
milkiyat-e-butān-e-khud-ārā hai āj-kal
kuchh kuchh bachchī khuchī sī ummīdoñ ke saath saath
ġham ne bhī dil meñ pair pasārā hai āj-kal
tum ko agar hamārī mohabbat se aar hai
ham ne bhī apne nafs ko maarā hai āj-kal
terā agar yahī hai taġhāful to phir batā
tere baġhair kaun hamārā hai āj-kal
ai dil zamīn-e-ishq pe rakh phūñk kar qadam
duniyā kā zarra zarra sharārā hai āj-kal
dāvat kisī aziiz kī qismat meñ kab 'asar'
hotel kī roTiyoñ par guzārā hai āj-kal
sehat ne tum ko KHub ubhaara hai aaj-kal
wallah kya shabab tumhaara hai aaj-kal
tera sitam wafa se bhi pyara hai aaj-kal
de zahr bhi mujhe to gawara hai aaj-kal
duniya ki rahaton se kinara hai aaj-kal
main hun aur ek KHayal tumhaara hai aaj-kal
dil mein basi hui hai koi surat hasin
shishe mein ek pari ko utara hai aaj-kal
dil jis mein meri aarzuon ki thi bud-o-bash
milkiyat-e-butan-e-khud-ara hai aaj-kal
kuchh kuchh bachchi khuchi si ummidon ke sath sath
gham ne bhi dil mein pair pasara hai aaj-kal
tum ko agar hamari mohabbat se aar hai
hum ne bhi apne nafs ko mara hai aaj-kal
tera agar yahi hai taghaful to phir bata
tere baghair kaun hamara hai aaj-kal
ai dil zamin-e-ishq pe rakh phunk kar qadam
duniya ka zarra zarra sharara hai aaj-kal
dawat kisi aziz ki qismat mein kab 'asar'
hotel ki roTiyon par guzara hai aaj-kal
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 157)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.