kudurat hai to sulh-o-ashti se kuchh nahin hota
kudūrat hai to sulh-o-āshtī se kuchh nahīñ hotā
aqīdat uTh ga.ī to bandagī se kuchh nahīñ hotā
dil nākām agar himmat-varī se kuchh nahīñ hotā
to phir din raat kī nauhagarī se kuchh nahii. hotā
dil-ārā.ī nahīñ hai dil-dahī se kuchh nahīñ hotā
vafā.eñ ro rahī haiñ aadmī se kuchh nahīñ hotā
jahāñ vāloñ ke kuchh nāz-o-sitam bhī sahne paḌte haiñ
ye duniyā hai yahāñ apnī ḳhushī se kuchh nahii. hotā
jahāñ par faiz hāsil ho paḌā rah bas usī dar par
dil-e-vahshat-zada āvārgī se kuchh nahii. hotā
ilāj-e-kulfat-e-duniya madāvā-e-ġham-e-daurāñ
ḳhudā kar de to kar de aadmī se kuchh nahīñ hotā
na ho ġhamgīñ-asar ahl-e-jahāñ kī bevafā.ī par
masarrat se basar kar le ġhamī se kuchh nahīñ hotā
kudurat hai to sulh-o-ashti se kuchh nahin hota
aqidat uTh gai to bandagi se kuchh nahin hota
dil nakaam agar himmat-wari se kuchh nahin hota
to phir din raat ki nauhagari se kuchh nahi hota
dil-arai nahin hai dil-dahi se kuchh nahin hota
wafaen ro rahi hain aadmi se kuchh nahin hota
jahan walon ke kuchh naz-o-sitam bhi sahne paDte hain
ye duniya hai yahan apni KHushi se kuchh nahi hota
jahan par faiz hasil ho paDa rah bas usi dar par
dil-e-wahshat-zada aawargi se kuchh nahi hota
ilaj-e-kulfat-e-duniya madawa-e-gham-e-dauran
KHuda kar de to kar de aadmi se kuchh nahin hota
na ho ghamgin-asar ahl-e-jahan ki bewafai par
masarrat se basar kar le ghami se kuchh nahin hota
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 144)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.