main zindagi ke sahaare talash karata hun
maiñ zindagī ke sahāre talāsh karatā huuñ
tirī nazar ke ishāre talāsh karatā huuñ
kināre jo ho shab-e-mah ho tū ho aur maiñ huuñ
vo dil-fareb nazāre talāsh karatā huuñ
na jaane kaun se goshe meñ paḌ rahe hoñge
tire firāq ke maare talāsh karatā huuñ
vo shauq-e-dil jo tujhe ijz-o-inkisār ke saath
huzūr kah ke pukāre talāsh karatā huuñ
dil-e-hazīñ jo kabhī ġham-gusār rahte the
kahāñ haiñ dost tumhāre talāsh karatā huuñ
ḳhudā hī paar lagā.e gā ai asar ki hai ab
bhañvar meñ naav talāsh karatā huuñ
main zindagi ke sahaare talash karata hun
teri nazar ke ishaare talash karata hun
kinare jo ho shab-e-mah ho tu ho aur main hun
wo dil-fareb nazare talash karata hun
na jaane kaun se goshe mein paD rahe honge
tere firaq ke mare talash karata hun
wo shauq-e-dil jo tujhe ijz-o-inkisar ke sath
huzur kah ke pukare talash karata hun
dil-e-hazin jo kabhi gham-gusar rahte the
kahan hain dost tumhaare talash karata hun
KHuda hi par lagae ga ai asar ki hai ab
bhanwar mein naw talash karata hun
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 144)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.