us pe kyun marte hain kyun uski tamanna dil mein hai
us pe kyun marte hain kyun uski tamanna dil mein hai
Jageshwar Prasad Khalish
MORE BYJageshwar Prasad Khalish
us pe kyuuñ marte haiñ kyuuñ us kī tamannā dil meñ hai
baat kuchh khultī nahīñ jo ḳhanjar-e-qātil meñ hai
duur sāġhar kī tarah gardish hai ahl-e-bazm ko
aap se bāhar hai vo jo aap kī mahfil meñ hai
dekhiye aakar yahāñ rañgīn phūloñ kī bahār
ik shagufta baaġh hai jo daaġh mere dil meñ hai
nāseh-e-mushfiq nasīhat apnī rahne dījiye
ishq kā jauhar azal se mere āb-o-gil meñ hai
ek hī sūrat ko do kar ke dikhā detā hai ye
jauhar-e-ā.īna-pinhāñ ḳhanjar-e-qātil meñ hai
ġhair hañstā hai udhar mujh ko lab-e-jāñ dekh kar
maiñ idhar ḳhush huuñ ki kashtī dāman-e-sāhil meñ hai
hosh kis ko hai jo le uTh kar qiyāmat kī ḳhabar
dam ba-ḳhud har ik adam kī pahlī hī manzil meñ hai
hashr meñ ham daad chāheñ aur un ke sāmne
ro.ab itnā hai ki muñh kī muñh meñ dil kī dil meñ hai
qabr meñ aate hī raushan ho gayā mahshar kā haal
āḳhirī manzil kā manzar pahlī hī manzil meñ hai
chhup nahīñ saktā chhupā.e se ġhubār-e-ā.īna
saaf chehre se ayaañ hai jo tumhāre dil meñ hai
mil ke vo khichtā hai aur ye khich ke miltā hai 'ḳhalish'
baḌ ke qātil se ye ḳhūbī ḳhanjar-e-qātil meñ hai
us pe kyun marte hain kyun us ki tamanna dil mein hai
baat kuchh khulti nahin jo KHanjar-e-qatil mein hai
dur saghar ki tarah gardish hai ahl-e-bazm ko
aap se bahar hai wo jo aap ki mahfil mein hai
dekhiye aakar yahan rangin phulon ki bahaar
ek shagufta bagh hai jo dagh mere dil mein hai
naseh-e-mushfiq nasihat apni rahne dijiye
ishq ka jauhar azal se mere aab-o-gil mein hai
ek hi surat ko do kar ke dikha deta hai ye
jauhar-e-aina-pinhan KHanjar-e-qatil mein hai
ghair hansta hai udhar mujh ko lab-e-jaan dekh kar
main idhar KHush hun ki kashti daman-e-sahil mein hai
hosh kis ko hai jo le uTh kar qiyamat ki KHabar
dam ba-KHud har ek adam ki pahli hi manzil mein hai
hashr mein hum dad chahen aur un ke samne
roab itna hai ki munh ki munh mein dil ki dil mein hai
qabr mein aate hi raushan ho gaya mahshar ka haal
aaKHiri manzil ka manzar pahli hi manzil mein hai
chhup nahin sakta chhupae se ghubar-e-aina
saf chehre se ayan hai jo tumhaare dil mein hai
mil ke wo khichta hai aur ye khich ke milta hai 'KHalish'
baD ke qatil se ye KHubi KHanjar-e-qatil mein hai
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 137)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.