qadmon se itna dur kinara kabhi na tha
qadmoñ se itnā duur kināra kabhī na thā
nā-qābil-e-ubūr ye dariyā kabhī na thā
tum-sā hasīñ in āñkhoñ ne dekhā kabhī na thā
lekin ye sach nahīñ koī tum-sā kabhī na thā
hai zikr-e-yār kyuuñ shab-e-zindāñ se duur duur
ai ham-nashīñ ye tarz ġhazal kā kabhī na thā
kamre meñ dil ke us ke ’alāva koī nahīñ
hairān huuñ ki aisā añdherā kabhī na thā
kis ne bisāt-e-bahs ke mohre badal diye
tanhā to thā vo pahle bhī gūñgā kabhī na thā
imroz-e-intizār kā fardā to kal bhī hai
andoh-e-imshabī kā saverā kabhī na thā
har zehn meñ hamesha sulagtā hai ye savāl
āḳhir huā vo kyuuñ jise honā kabhī na thā
dīvāna thā bhaTak gayā gum ho gayā hai qais
ḳhālī magar kajāva-e-lailā kabhī na thā
kal bhī uisī dayār meñ thā raushnī kā qaht
aisā magar charāġh kā dhandā kabhī na thā
pighlī kuchh aur barf to ik aur shahr-e-ḳhvāb
yuuñ bah gayā nasheb meñ goyā kabhī na thā
barsā hai kis babūl pe abr-e-bahār-ḳhez
itnā harā to zaḳhm-e-tamannā kabhī na thā
us ne bhī iltifāt se dekhā thā kab 'ḳhalish'
maiñ ne bhī us ke baare meñ sochā kabhī na thā
qadmon se itna dur kinara kabhi na tha
na-qabil-e-ubur ye dariya kabhi na tha
tum-sa hasin in aankhon ne dekha kabhi na tha
lekin ye sach nahin koi tum-sa kabhi na tha
hai zikr-e-yar kyun shab-e-zindan se dur dur
ai ham-nashin ye tarz ghazal ka kabhi na tha
kamre mein dil ke us ke ’alawa koi nahin
hairan hun ki aisa andhera kabhi na tha
kis ne bisat-e-bahs ke mohre badal diye
tanha to tha wo pahle bhi gunga kabhi na tha
imroz-e-intizar ka farda to kal bhi hai
andoh-e-imshabi ka sawera kabhi na tha
har zehn mein hamesha sulagta hai ye sawal
aaKHir hua wo kyun jise hona kabhi na tha
diwana tha bhaTak gaya gum ho gaya hai qais
KHali magar kajawa-e-laila kabhi na tha
kal bhi uisi dayar mein tha raushni ka qaht
aisa magar charagh ka dhanda kabhi na tha
pighli kuchh aur barf to ek aur shahr-e-KHwab
yun bah gaya nasheb mein goya kabhi na tha
barsa hai kis babul pe abr-e-bahaar-KHez
itna hara to zaKHm-e-tamanna kabhi na tha
us ne bhi iltifat se dekha tha kab 'KHalish'
main ne bhi us ke bare mein socha kabhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.