humne tere qadd-o-qamat ka tamasha dekha
ham ne tere qadd-o-qāmat kā tamāsha dekhā
kahīñ fitna kahīñ mahshar ko bhī barpā dekhā
har taraf jabki tire nuur kā jalva dekhā
ek sā mandir-o-kā'ba-o-kalīsā dekhā
jis ne us nūr-e-munavvar kā kaf-e-pā dekhā
phir na us ne kabhī sū-e-yad-e-baizā dekhā
jalva-e-yār ke hote tarf-e-tūr-e-nigāh
vāh-vā hausla-e-hazrat-e-mūsā dekhā
qaidī-e-zulf kabhī gaah asīr-e-gesū
hamne is dil ko isī tarah kā saudā dekhā
nāzir us ke rahe ham āshiq
jo dekhā
sairāb hue sāqiyā lākhoñ mai-kash
ḳhālī apnā hī faqat jām-e-tamannā dekhā
pe nahii. kuchh mauqūf
hamne har bazm meñ us yaar kā charchā dekhā
marhabā kaun-o-makāñ dil meñ samā.e apne
qasr-e-dil meñ bhī ajab tarah kā naqsha dekhā
kyā nazar ho pe us kī jisne
kā ruḳh musaffā dekhā
ashk mere nahii. thamte haiñ to kahtā hai vo shoḳh
samjhe jis chashm ko chashma so vo dariyā dekhā
meñ chakkar maare
haaye hairat meñ kyā-kyā dekhā
sarv-e-gulshan ho sanobar ho ke ho fitna-e-hashr
sach to ye hai ke ġhazab vo qad-e-bālā dekhā
jis taraf rū-e-munavvar ho kare tū sajda
tujhko 'bahrām' ruḳh-e-yār kā shaidā dekhā
hum ne tere qadd-o-qamat ka tamasha dekha
kahin fitna kahin mahshar ko bhi barpa dekha
har taraf jabki tere nur ka jalwa dekha
ek sa mandir-o-ka'ba-o-kalisa dekha
jis ne us nur-e-munawwar ka kaf-e-pa dekha
phir na us ne kabhi su-e-yad-e-baiza dekha
jalwa-e-yar ke hote tarf-e-tur-e-nigah
wah-wa hausla-e-hazrat-e-musa dekha
qaidi-e-zulf kabhi gah asir-e-gesu
hamne is dil ko isi tarah ka sauda dekha
nazir us ke rahe hum aashiq
jo dekha
sairab hue saqiya lakhon mai-kash
KHali apnā hī faqat jam-e-tamanna dekha
pe nahi kuchh mauquf
hamne har bazm mein us yar kā charcha dekha
marhaba kaun-o-makan dil mein samae apne
qasr-e-dil mein bhi ajab tarah kā naqsha dekha
kyā nazar ho pe us ki jisne
kā ruKH musaffa dekha
ashk mere nahi thamte hain to kahta hai wo shoKH
samjhe jis chashm ko chashma so wo dariya dekha
mein chakkar mare
haye hairat mein kya-kya dekha
sarw-e-gulshan ho sanobar ho ke ho fitna-e-hashr
sach to ye hai ke ghazab wo qad-e-baala dekha
jis taraf ru-e-munawwar ho kare tū sajda
tujhko 'bahram' ruKH-e-yar kā shaida dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.