Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mere pahlu mein ye ghaarat-gar-e-jaan kaun aaya

Behzad Lakhnavi

mere pahlu mein ye ghaarat-gar-e-jaan kaun aaya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    mere pahlū meñ ye ġhārat-gar-e-jāñ kaun aayā

    paikar-e-nāz-o-adā amn-o-amāñ kaun aayā

    jis āñkheñ nahīñ do jaam haiñ saaqī qasam

    apnī nazroñ meñ liye ritl-e-garāñ kaun aayā

    jis bebāk nigāhī meñ hijāboñ hujūm

    'ishq hai aaj ba-hairat-e-nigarāñ kaun aayā

    sub.h ke rañg pe chhā.ī hai latāfat shab

    zulf-e-mushkīñ ko ba-ruḳh-e-raqs-e-kunāñ kaun aayā

    be-sune kaun banā 'ain tamannā-e-dilī

    be-kahe hāsil-e-alfāz-o-bayāñ kaun aayā

    maiñ bhī hairat meñ huuñ hairat meñ hai duniyā bhī mirī

    aaj sun kar dil-e-muztar ko fuġhāñ kaun aayā

    chashm mushtāq hai dil mast hai betāb se ruuh

    ḳhudā ban ke murād-e-dil-o-jāñ kaun aayā

    be-ḳhud-e-shauq huuñ 'bahzād' mujhe hosh hai kyā

    jazb dil se mire be-tāb-o-tavāñ kaun aayā

    mere pahlu mein ye ghaarat-gar-e-jaan kaun aaya

    paikar-e-naz-o-ada amn-o-aman kaun aaya

    jis ki aankhen nahin do jam hain saqi ki qasam

    apni nazron mein liye ritl-e-garan kaun aaya

    jis ki bebak nigahi mein hijabon ka hujum

    'ishq hai aaj ba-hairat-e-nigaran kaun aaya

    subh ke rang pe chhai hai latafat shab ki

    zulf-e-mushkin ko ba-ruKH-e-raqs-e-kunan kaun aaya

    be-sune kaun bana 'ain tamanna-e-dili

    be-kahe hasil-e-alfaz-o-bayan kaun aaya

    main bhi hairat mein hun hairat mein hai duniya bhi meri

    aaj sun kar dil-e-muztar ko fughan kaun aaya

    chashm mushtaq hai dil mast hai betab se ruh

    ya KHuda ban ke murad-e-dil-o-jaan kaun aaya

    be-KHud-e-shauq hun 'bahzad' mujhe hosh hai kya

    jazb dil se mere be-tab-o-tawan kaun aaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now