Font by Mehr Nastaliq Web

gham ko dushman dard ko na-mehrban samjha tha main

Behzad Lakhnavi

gham ko dushman dard ko na-mehrban samjha tha main

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ġham ko dushman dard ko nā-mehrbāñ samjhā thā maiñ

    haaye kun uThtī bahāroñ ko ḳhizāñ samjhā thā maiñ

    ek sāġhar ne mujh par ye haqīqat khol

    vo bhī mai-kash thā jise pīr-e-muġhāñ samjhā thā maiñ

    sunñe vāloñ ḳhatā kyā thī na samjhā gar koī

    ḳhud baḌī mushkil se apnī dāstāñ samjhā thā maiñ

    haaye vo niklā merī chashm-e-tamannā sarāb

    duur se jis ko ġhubār-e-kārvāñ samjhā thā maiñ

    mujh ko miltā bhī to kis 'unvāñ se lutf-e-bandagī

    sajde ko pāband-e-sañg-e-āstāñ samjhā thā maiñ

    kyā ḳhabar thī āshiyāñ zad meñ haiñ ḳhud bijliyāñ

    bijliyoñ zad meñ apnā āshiyāñ samjhā thā maiñ

    hasratoñ thā janāza ārzūoñ mazār

    haaye vo qatra jise ashk-e-ravāñ samjhā thā meñ

    ek markaz pe the nāz-o-niyāz-e-’āshiqī

    un ke qisse ko bhī apnī dāstān samjhā thā maiñ

    ḳhatm hotī kis tarah 'bahzād' merī rah-ravī

    rah-guzar thī jis ko manzil nishāñ samjhā thā maiñ

    gham ko dushman dard ko na-mehrban samjha tha main

    haye kun uThti bahaaron ko KHizan samjha tha main

    ek hi saghar ne mujh par ye haqiqat khol di

    wo bhi mai-kash tha jise pir-e-mughan samjha tha main

    sunne walon ki KHata kya thi na samjha gar koi

    KHud baDi mushkil se apni dastan samjha tha main

    haye wo nikla meri chashm-e-tamanna ka sarab

    dur se jis ko ghubar-e-karwan samjha tha main

    mujh ko milta bhi to kis 'unwan se lutf-e-bandagi

    sajde ko paband-e-sang-e-astan samjha tha main

    kya KHabar thi aashiyan ki zad mein hain KHud bijliyan

    bijliyon ki zad mein apna aashiyan samjha tha main

    hasraton ka tha janaza aarzuon ka mazar

    haye wo qatra jise ashk-e-rawan samjha tha mein

    ek hi markaz pe the naz-o-niyaz-e-’ashiqi

    un ke qisse ko bhi apni dastan samjha tha main

    KHatm hoti kis tarah 'bahzad' meri rah-rawi

    rah-guzar thi jis ko manzil ka nishan samjha tha main

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now