Font by Mehr Nastaliq Web

tere zikr ne tere fikr ne teri yaad ne wo maza diya

Behzad Lakhnavi

tere zikr ne tere fikr ne teri yaad ne wo maza diya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    tire zikr ne tire fikr ne tirī yaad ne vo mazā diyā

    ki jahāñ milā koī naqsh-e-pā vahīñ ham ne sar ko jhukā diyā

    tire dast-e-banda-navāz ne merī aarzū se sivā diyā

    magar aah jazb-e-jahāñ talab meñ ye kah rahā huuñ ki kyā diyā

    vo jo rah-ravī ma.aal hai vahī merī manzil haal hai

    mujhe rahbaroñ se milā kiyā mujhe rahzanoñ ne pitā diyā

    na junūñ na josh-e-junūñ rahā na to dil na soz-e-darūñ rahā

    tirī ik nigāh-e-sulūk ne ġham-e-zindagī ko bhulā diyā

    tere mai-kade meñ jo aa gayā vo matā’-e-hosh uḌā gayā

    use kho diyā tujhe gayā jahāñ jaam ne pilā diyā

    kabhī mujh se aañkh milā ga.e kabhī mujh se aañkh churā ga.e

    kabhī ik nazar meñ banā diyā kabhī ik nazar meñ miTā diyā

    tere zikr ne tere fikr ne teri yaad ne wo maza diya

    ki jahan mila koi naqsh-e-pa wahin hum ne sar ko jhuka diya

    tere dast-e-banda-nawaz ne meri aarzu se siwa diya

    magar aah jazb-e-jahan talab mein ye kah raha hun ki kya diya

    wo jo rah-rawi ka maal hai wahi meri manzil haal hai

    mujhe rahbaron se mila hi kiya mujhe rahzanon ne pita diya

    na junun na josh-e-junun raha na to dil na soz-e-darun raha

    teri ek nigah-e-suluk ne gham-e-zindagi ko bhula diya

    tere mai-kade mein jo aa gaya wo mata’-e-hosh uDa gaya

    use kho diya tujhe pa gaya jahan jam tu ne pila diya

    kabhi mujh se aankh mila gae kabhi mujh se aankh chura gae

    kabhi ek nazar mein bana diya kabhi ek nazar mein miTa diya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now