Font by Mehr Nastaliq Web

meri jo har taraf ko nazar dekhti rahi

Behzad Lakhnavi

meri jo har taraf ko nazar dekhti rahi

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    merī jo har taraf ko nazar dekhtī rahī

    duniyā mazāq-e-sho'bada gar dekhtī rahī

    ik sham'-e-dil-gudāz az farozāñ baġhair-e-nūr

    merī shab-e-alam ko sahr dekhtī rahī

    gum-gashtagī meñ bhī sar-e-manzil pahuñch gayā

    muḌ-muḌ ke mujh ko rāh-guzar dekhtī rahī

    sāġhar kis ko hosh thā mai kise dimāġh

    saaqī ko mai-kashoñ nazar dekhtī rahī

    vaqt-e-vidā.a dost merī chashm-e-nā-murād

    dekhā na rahā thā magar dekhtī rahī

    us dar pe le ga.ī tire sajdoñ aarzū

    jis dar pe sar ko sab nazar dekhtī rahī

    vīrāniyāñ nisār thiiñ be-rabtiyāñ fidā

    'bahzād' bebasī merā ghar dekhtī rahī

    meri jo har taraf ko nazar dekhti rahi

    duniya mazaq-e-sho'bada gar dekhti rahi

    ek sham'-e-dil-gudaz az farozan baghair-e-nur

    meri shab-e-alam ko sahr dekhti rahi

    gum-gashtagi mein bhi sar-e-manzil pahunch gaya

    muD-muD ke mujh ko rah-guzar dekhti rahi

    saghar ka kis ko hosh tha mai ka kise dimagh

    saqi ko mai-kashon ki nazar dekhti rahi

    waqt-e-widaa dost meri chashm-e-na-murad

    dekha na ja raha tha magar dekhti rahi

    us dar pe le gai tere sajdon ki aarzu

    jis dar pe sar ko sab ki nazar dekhti rahi

    viraniyan nisar thin be-rabtiyan fida

    'bahzad' bebasi mera ghar dekhti rahi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now