Font by Mehr Nastaliq Web

tere gham se mil raha hai mujhe har tarah sahaara

Behzad Lakhnavi

tere gham se mil raha hai mujhe har tarah sahaara

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    tire ġham se mil rahā hai mujhe har tarah sahārā

    yahī dard-e-zindagī hai yahī mauj hai kinārā

    tujhe kis tarah se pā.ūñ baḌī duur hai kinārā

    mirī zindagī ik aañsū tirī zindagī sitārā

    mire 'ishq safīna hai 'ajīb kashmakash meñ

    kabhī chhuT gayā kinārā kabhī mil gayā kinārā

    mujhe vo jagah batā do jahāñ sar jhukā sakūñ maiñ

    mujhe vo nazar batā do jo samajh sake ishārā

    tirī aarzū ne khoyā mujhe kar ke terā juuyā

    tirī yaad ne Duboyā tire ġham ne paar utārā

    abhī tak vahī tapish hai abhī tak vahī ḳhalish hai

    abhī tak sulag rahā hai vahī 'ishq sharāra

    tirā zikr merā īmāñ tirī fikr diin merā

    tirī yaad merā 'ālam tirā ġham mirā sahārā

    tere gham se mil raha hai mujhe har tarah sahaara

    yahi dard-e-zindagi hai yahi mauj hai kinara

    tujhe kis tarah se paun baDi dur hai kinara

    meri zindagi ek aansu teri zindagi sitara

    mere 'ishq ka safina hai 'ajib kashmakash mein

    kabhi chhuT gaya kinara kabhi mil gaya kinara

    mujhe wo jagah bata do jahan sar jhuka sakun main

    mujhe wo nazar bata do jo samajh sake ishaara

    teri aarzu ne khoya mujhe kar ke tera juya

    teri yaad ne Duboya tere gham ne par utara

    abhi tak wahi tapish hai abhi tak wahi KHalish hai

    abhi tak sulag raha hai wahi 'ishq ka sharara

    tera zikr mera iman teri fikr din mera

    teri yaad mera 'alam tera gham mera sahaara

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now