Font by Mehr Nastaliq Web

phaDakne de raha hai gar phaDakta hai machalta hai

Behzad Lakhnavi

phaDakne de raha hai gar phaDakta hai machalta hai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    phaḌakne de rahā hai gar phaḌaktā hai machaltā hai

    samajh rakhā hai zālim ne phañsā dil kab nikaltā hai

    mire qalb par armāñ 'ajab 'ālam hai ai hamdam

    na Thahrā.e Thahartā hai na bahlā.e bahaltā hai

    hameñ kyā hai ki ham to rañg-e-'ālam se guzar aa.e

    sunā hai āj-kal pahroñ koī hāthoñ ko maltā hai

    tirī barq-e-tajallī karam-bārī nahīñ jaatī

    ki ab bhī hosh uḌte haiñ ki ab bhī tuur jaltā hai

    maiñ pahroñ dekhtā huuñ un ko aur us qalb-e-muztar ko

    vo jab uThte haiñ ye kambaḳht bhī karvaT badaltā hai

    kisī 'ālam kisī 'unvāñ nahīñ taskīn-e-dil hotī

    kisī sūrat kisī andāz kab ye dil bahaltā hai

    sunā 'bahzād' ab suunī paḌī hai bazm-e-jānāñ bhī

    na ab sham.eñ jaltī haiñ na ab parvāna jaltā hai

    phaDakne de raha hai gar phaDakta hai machalta hai

    samajh rakha hai zalim ne phansa dil kab nikalta hai

    mere qalb par arman ka 'ajab 'alam hai ai hamdam

    na Thahrae Thaharta hai na bahlae bahalta hai

    hamein kya hai ki hum to rang-e-'alam se guzar aae

    suna hai aaj-kal pahron koi hathon ko malta hai

    teri barq-e-tajalli ki karam-bari nahin jati

    ki ab bhi hosh uDte hain ki ab bhi tur jalta hai

    main pahron dekhta hun un ko aur us qalb-e-muztar ko

    wo jab uThte hain ye kambaKHt bhi karwaT badalta hai

    kisi 'alam kisi 'unwan nahin taskin-e-dil hoti

    kisi surat kisi andaz kab ye dil bahalta hai

    suna 'bahzad' ab suni paDi hai bazm-e-jaanan bhi

    na ab shamen hi jalti hain na ab parwana jalta hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now