Font by Mehr Nastaliq Web

meri zaban KHamosh hai naghma-e-gham sunae kaun

Behzad Lakhnavi

meri zaban KHamosh hai naghma-e-gham sunae kaun

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    merī zabāñ ḳhamosh hai naġhma-e-ġham sunā.e kaun

    saarā jahāñ hai muntazir vajd meñ us ko laa.e kaun

    jis ko mirā ḳhayāl ho dekh le sham'-e-bazm ko

    kahne se fā.ida kyā rāz-e-dilī batā.e kaun

    ab vo kahāñ hai nāz-e-husn ab hai kahāñ niyāz-e-'ishq

    kaun bahā.e ashk-e-ġham dekh ke muskurā.e kaun

    'ishq ko aazmā chuke sāhib-e-’aql-o-hosh-o-dil

    husn 'ajīb chiiz hai husn ko āzmā.e kaun

    sun ke merī tabāhiyāñ pursish-e-hāl kis ne

    kis ne bharī ik āh-e-ġham kis ne kahā ki haaye kaun

    daur-e-niyāz-o-nāz hai 'ālam soz-o-sāz hai

    jalva to ḳhud aa.egā apnī nazar uThā.e kaun

    kaun murād-mand hai aaj havā bhī band hai

    kaun chale chaman-chaman ġhuncha ba-ġhuncha jaa.e kaun

    meri zaban KHamosh hai naghma-e-gham sunae kaun

    sara jahan hai muntazir wajd mein us ko lae kaun

    jis ko mera KHayal ho dekh le sham'-e-bazm ko

    kahne se faida hi kya raaz-e-dili batae kaun

    ab wo kahan hai naz-e-husn ab hai kahan niyaz-e-'ishq

    kaun bahae ashk-e-gham dekh ke muskurae kaun

    'ishq ko aazma chuke sahib-e-’aql-o-hosh-o-dil

    husn 'ajib chiz hai husn ko aazmae kaun

    sun ke meri tabahiyan pursish-e-haal kis ne ki

    kis ne bhari ek aah-e-gham kis ne kaha ki haye kaun

    daur-e-niyaz-o-naz hai 'alam soz-o-saz hai

    jalwa to KHud hi aaega apni nazar uThae kaun

    kaun murad-mand hai aaj hawa bhi band hai

    kaun chale chaman-chaman ghuncha ba-ghuncha jae kaun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now