Font by Mehr Nastaliq Web

dair-ba-dair ku-ba-ku sajda-kunan guzar gaya

Behzad Lakhnavi

dair-ba-dair ku-ba-ku sajda-kunan guzar gaya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    dair-ba-dair kū-ba-kū sajda-kunāñ guzar gayā

    'ishq ba-sad niyāz-e-shauq-e-pā ke amaañ guzar gayā

    jumbish-e-chashm-e-nāz-e-dost kar ga.ī turfa-e-inqalāb

    fasl-e-bahār aa ga.ī daur-e-ḳhizāñ guzar gayā

    jaam rahā yūñhī dharā hosh mujh ko kab rahā

    ho ke jo mere paas se pīr-e-muġhāñ guzar gayā

    manzil-e-soz-o-sāz se hadd-e-vafā tarāz se

    rehn-e-yaqīñ na sakā vaqf-e-gumāñ guzar gayā

    apne jahān-e-nāz meñ use garm-e-shauq rakh

    phir use kaun pā.egā 'ishq-e-jahāñ guzar gayā

    ab hai kahāñ vo be-hijāb chehre pe aa chukī naqāb

    kaun paḌhe namāz-e-'ishq vaqt-e-azāñ guzar gayā

    Daal ke mujh pe ik nigāh dekh ke 'ishq meñ tabāh

    us ke nisār jā.iye naġhma-kunāñ guzar gayā

    dair-ba-dair ku-ba-ku sajda-kunan guzar gaya

    'ishq ba-sad niyaz-e-shauq-e-pa ke aman guzar gaya

    jumbish-e-chashm-e-naz-e-dost kar gai turfa-e-inqalab

    fasl-e-bahaar aa gai daur-e-KHizan guzar gaya

    jam raha yunhi dhara hosh hi mujh ko kab raha

    ho ke jo mere pas se pir-e-mughan guzar gaya

    manzil-e-soz-o-saz se hadd-e-wafa taraaz se

    rehn-e-yaqin na ja saka waqf-e-guman guzar gaya

    apne jahan-e-naz mein tu use garm-e-shauq rakh

    phir use kaun paega 'ishq-e-jahan guzar gaya

    ab hai kahan wo be-hijab chehre pe aa chuki naqab

    kaun paDhe namaz-e-'ishq waqt-e-azan guzar gaya

    Dal ke mujh pe ek nigah dekh ke 'ishq mein tabah

    us ke nisar jaiye naghma-kunan guzar gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now